Ye Meri Arzi Hai (ये मेरी अर्जी है: भजन)


Ye Meri Arzi Hai,
Mai Vaisi Ban Jaoon,
Jo Teri Marzi Hai ॥Doha – Maine Kab Kaha,
Ki Mujhe Duniya Ka Maal De,
Lagi Hai Phaas Dil Mein Nikal De
Mujh Garib Ka to Shyam,
Itna Sawal Hai,
Jo Kuchh Samajh Mein Aaye,
Meri Jholi Mein Daal De ॥

Laphjo Ka Tota Hai,
Laphjo Ka Tota Hai,
Jikr Pyaare Ka,
Ashko Se Hota Hai,
Ye Meri Arzi Hain,
Mai Vaisi Ban Jaoon,
Jo Teri Marzi Hai ॥

Chham Chham Chham Barish Hai,
Chham Chham Chham Barish Hai,
Maahi Ghar Aaja,
Har Boond Sipharish Hai,
Ye Meri Arzi Hain,
Mai Vaisi Ban Jaoon,
Jo Teri Marzi Hai ॥

Vo Itna Pyara Hai,
Vo Itna Pyara Hai,
Chaand Kahe Usase,
Tu Chand Hamara Hai,
Ye Meri Arzi Hain,
Mai Vaisi Ban Jaoon,
Jo Teri Marzi Hai ॥

Jag Rok Na Payega,
Jag Rok Na Payega,
Meera Nachegi,
Jab Shyam Bulayega,
Ye Meri Arzi Hain,
Mai Vaisi Ban Jaoon,
Jo Teri Marzi Hai ॥

Mera Maahi Gabru Hai,
Mera Maahi Gabru Hai,
Uski Khushbu Se,
Khushbu Mein Khushbu Hai,
Ye Meri Arzi Hain,
Mai Vaisi Ban Jaoon,
Jo Teri Marzi Hai ॥

Ye Meri Arzi Hai,
Mai Vaisi Ban Jaoon,
Jo Teri Marzi Hai ॥
ये मेरी अर्जी है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ये मेरी अर्जी है, मै वैसी बन जाऊँ, जो तेरी मर्जी है ॥
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Mano Toh Main Ganga Maa Hun

Mano to Main Ganga Maa Hun, Na Mano to Bahata Pani, Jo Swarg Ne Di Dharti Ko, Mein Hun Pyar Ki Vahi Nishani

Hey Tripurari Gangadhari

Hey Tripurari Gangadhari, Srshti Ke Aadhar, Shankar Kirapa Karunakar, Bhole Kirapa Karunakar ॥

Bharat Ke Liye Bhagwan Ka Ek Vardan Hai Maa Ganga

Bharat Ke Lie Bhagwan Ka, Ek Vardan Hai Ganga, Sach Puchho to Is Desh Ki, Pahachan Hai Ganga, Har Har Gange, Har Har Gange