Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Jai Bhole Shankar Jai Gangadhari (जय भोले शंकर जय गंगाधारी - भजन)


Jai Bhole Shankar Jai Gangadhari
Jai Bhole Shankar Jai Gangadhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva,
Bhole Bhandari Chanda Ke Dhaari,
Bhole Bhandari Trinetra Dhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva,
Jai Bholen Shankar Jai Gangadhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva ॥
Oonche Kailash Pe Dera Hai Daala,
Adbhut Anupam Roop Nirala,
Ganga Jal Se Khush Ho Jaate,
Jisne Shivaling Par Hai Daala,
Bhakto Ki Saari Vipdayen Taali,
Bhakto Ki Saari Vipdayen Taali,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva,
Jai Bholen Shankar Jai Gangadhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva ॥

Asuro Ko Bhi Var De Daale,
Shiv Shankar Mere Bhole Bhaale,
Bramha Ko Ved Diye Ravan Ko Lanka,
Shiv Shambhu Tere Khel Niraale,
Bhar Di Hai Jisne Jholi Pasaari,
Bhar Di Hai Jisne Jholi Pasaari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva,
Jai Bholen Shankar Jai Gangadhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva ॥

Parvati Ke Sang Viraaje,
Ganpat Kartik God Mein Saaje,
Teri Mahima Jag Se Nirali,
Teen Lok Mein Danka Baaje,
Charanon Mein Jhukti Shrashti Hai Saari,
Charanon Mein Jhukti Shrashti Hai Saari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva,
Jai Bholen Shankar Jai Gangadhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva ॥

Jai Bhole Shankar Jai Gangadhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva,
Bhole Bhandari Chanda Ke Dhaari,
Bhole Bhandari Trinetra Dhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva,
Jai Bholen Shankar Jai Gangadhari,
Devo Ke Deva Hey Mahadeva ॥

जय भोले शंकर जय गंगाधारी - भजन हिन्दी में पढ़ें

जय भोले शंकर जय गंगाधारी, देवो के देवा हे महादेवा, भोले भंडारी चंदा के धारी, भोले भंडारी त्रिनेत्र धारी, देवो के देवा हे महादेवा, जय भोलें शंकर जय गंगाधारी, देवो के देवा हे महादेवा ॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhakton Ke Ghar Kabhi Aao Ma

Aao Maan Aao Maan Aao Maan, Bhakto Ke Ghar Kabhi Aaon Maan, Parivar Tumhara Hai, Hamen Tera Hi Sahara Hai, Aaon Maan Aaon Maan Aaon Maan, Bhakto Ke Ghar Kabhi Aao Maan ॥

Meri Maiya Tere Darbar Ye Diwane Aaye Hai

Meri Maiya Tere Darbar Ye, Deewane Aaye Hai, Bhakti Mein Teri Doob Ke Ye, Bhakti Mein Teri Doob Ke Ye,
Mastane Aaye Hai, Meri Maiya Tere Darbar Ye, Deewane Aaye Hai ॥

Maa Ka Naam Jape Ja Har Pal

Maan Ka Naam Jape Ja Har Pal, Laage Na Koi Mol Re, Jai Mata Di Bol Re Tu, Jai Mata Di Bol Re ॥

Bhagat Pukare Aaj Mawadi

Bhagat Pukare Aaj Mawadi, Aake Laaj Bacha Ja Aye, Duhkh Pave Hai Tabar Thara, Aake Kasht Mita Ja Ai, Bhakt Pukare Aaj Mawadi, Aake Laaj Bacha Ja Aye ॥

Kitna Sona Hai Darbar Bhawani Tera

Kitna Sona Hai Darbar, Bhawani Tera Ye Singar, Kitan Sona Hai, Tera Ye Darwar Bhawani, Tera Ye Singar, Kitna Sona Hai, O Maiya Tumko, Kisne Sajaya Hai, Tera Sundar Se Sundar, Darwar Banaya Hai ॥

Teri Mahima Sabhi Ne Bakhani

Teri Mahima Sabhi Ne Bakhani, Daya Hampe Karo Ambe Rani ॥

Jaago Pahada Waali Tera Jagan Vela Hoya

Jaago Pahadawali Tera, Jagan Vela Hoya, Jaago Gaura Mai Tera, Jagan Vela Hoya ॥

Shiv Bhajan - Shiv Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP