janmashtami 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mere Sankat Harlo Balaji (मेरे संकट हरलो बालाजी: भजन)


Mere Sankat Harlo Balaji
Mere Shankat Harlo Balaji,
Mere Shankat Harlo Balaji,
Prabhu Mehendipur Main Dham Tera,
Hai Sankat Mochan Naam Tera,
Mere Shankat Harlo Balaji,
Mere Shankat Harlo Balaji ॥
Anjani Ke Lalan Dwar Tere,
Meri Kabse Jholi Taras Rahi,
Mera Dukh Se Tan Maan Pidit hai,
Jara Dekh Ye Ankhen Taras Rahi,
Har Dar Se Jholi Nirasa Hai,
Bas Ek Tumhi Se Aash Hai,
Mere Shankat Harlo Balaji,
Mere Shankat Harlo Balaji ॥

Tum Dushta Dalan Bhayaharta Hai,
Mujh Pe Bhi Daya Kuch Kar Dena,
Tune Kaaj Saware Raghubar Ke,
Koi Mujhe Bhi Sukh Ka Bar Dena,
Main Ro Ro Aaj Pukar Karun,
Yahin Binati Barambar Karun,
Mere Shankat Harlo Balaji,
Mere Shankat Harlo Balaji ॥

Hanuman Gadadhar Mahabali,
Mere Soye Bhagya Jaga Bhi Do,
Mujhe Ghera Hua Tuphanon Main,
Meri Naya Par Laga Bhi Do,
Tere Hote Kab Tak Kastha Sahun,
Tumse Na Kahun To Kisse Kahun,
Mere Shankat Harlo Balaji,
Mere Shankat Harlo Balaji ॥

Mere Shankat Harlo Balaji,
Mere Shankat Harlo Balaji,
Prabhu Mehendipur Main Dham Tera,
Hai Sankat Mochan Naam Tera,
Mere Shankat Harlo Balaji,
Mere Shankat Harlo Balaji ॥

मेरे संकट हरलो बालाजी: भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरे संकट हरलो बालाजी, मेरे संकट हरलों बालाजी, प्रभु मेहंदीपुर में धाम तेरा, है संकट मोचन नाम तेरा, मेरे संकट हरलों बालाजी, मेरे संकट हरलों बालाजी ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai, To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi, Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke, Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥

Shri Ram Se Keh Dena Ek Baat Akele Me

Shri Ram Se Kah Dena, Ek Baat Akele Mein, Rota Hai Bharat Bhaiya, Din Raat Akele Mein, Shrin Ram Se Kah Dena, Ek Baat Akele Mein ॥

Man Me To Aave Bhajan Banau

Man Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Balasa, Bhajan Bana Ke Balasa Tujhko Rijhaun

Shree Ram Pyare Anjani Dulare

Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai, Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai, Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Dar Balaji Ke Arji Laga Le

Dar Balaji Ke Araji Lagale, Aaj Shradha Se Tu Baba Ko Manale, Ki Dukh Tera Bhag Jayega, Ki Dukh Tera Bhag Jayega, Saccha Hai Darbar Mere Balaji Ka, Milta Hai Pyar Yahan Balaji Ka ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Janmashtami - Janmashtami
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP