Phool Hai Wo Kismat Wale Jo,
Tere Gale Ke Haar Mein Hai,
Maan Jo Tere Charnon Mein Pade Hai,
Jo Tere Shringar Mein Hai,
Phool Hain Vo Kismat Walen Jo,
Tere Gale Ke Haar Mein Hai ॥
Kaash Ke in Phoolon Ke Jaisi,
Hoti Meri Taqdeer O Maan,
Mil Jaati Mujhko Bhi Teri,
Mamta Ki Jageer O Maan,
Mahkaata Apni Khushboo Se,
Main Teri Tasweer O Maan,
Mujhko Bhi Un Phoolon Ke Sang,
Rahana Tere Darbaar Mein Hai,
Maan Jo Tere Charnon Mein Pade Hai,
Jo Tere Shringar Mein Hai,
Phool Hain Vo Kismat Walen Jo,
Tere Gale Ke Haar Mein Hai ॥
Bhool Se Koi Bhool Hui Ho,
Maan Vo Bhool Bhula Dena,
Agle Janam Mein Mata Raani,
Mujhko Phool Bana Dena,
Mere Mathe Pe Bhi Apne,
Charnon Ki Dhul Laga Dena,
Kasam Tujhe Un Phoolon Ki Jo,
Doobe Tere Pyar Mein Hai,
Maan Jo Tere Charnon Mein Pade Hai,
Jo Tere Shringar Mein Hai,
Phool Hain Vo Kismat Walen Jo,
Tere Gale Ke Haar Mein Hai ॥
Aur Na Kuch Bhi Maangu Maiya,
Bas Itna Hi Kahna Hai,
Aas Hai Man Mein Tere Bhavan Mein,
Sath Tere Maan Rahana Hai,
Teri Kirpa Ki Ganga Mein,
Mujhko Aise Bahana Hai,
Jaise Bahate Phool Ye Teri,
Karuna Ki Bauchhaar Mein Hai,
Maan Jo Tere Charnon Mein Pade Hai,
Jo Tere Shringar Mein Hai,
Phool Hain Vo Kismat Walen Jo,
Tere Gale Ke Haar Mein Hai ॥
Phool Hai Wo Kismat Wale Jo,
Tere Gale Ke Haar Mein Hai,
Maan Jo Tere Charnon Mein Pade Hai,
Jo Tere Shringar Mein Hai,
Phool Hain Vo Kismat Walen Jo,
Tere Gale Ke Haar Mein Hai ॥
दुर्गा चालीसा |
आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी |
आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली |
महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् |
माता के भजन