Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ram Naam Na Gaya Tune Bas Maya Hi Jodi (राम नाम ना गाया तूने, बस माया ही जोड़ी - भजन)


Ram Naam Na Gaya Tune,
Bas Maya Hi Jodi,
Ram Naam Ke Siva Sath Na,
Jaen Phooti Kaudi,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram ॥
Ram Naam Dhan Jo Tu Yahan Kamaega,
Kabhi Na Bhoolo Kaam Wahaan Vo Aaega,
Agar Ram Se Pyaar Nahin Hai,
Kuchh Tera Us Paar Nahin Hai,
Janm Hi Leti Phiregi Phir Ye,
Teri Rooh Nigodi,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram ॥

Log Tujhe Bas Marghat Tak Le Jayenge,
Chaahne Wale Do Aansoo Dhalkaenge,
Koi Na Tere Sang Chalega,
Chita Mein Har Ek Ang Jalega,
Jis Din Kroor Kaal Ki,
Sir Pe Aakar Gire Hathaudi,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram ॥

Manavta Bhi Rahe Tumhare Sine Mein,
Sabme Dekho Ram Maja Phir Jeene Mein,
Ram Naam Ras Ji Bhar Pi Le,
Mat Hone De Bandhan Dheele,
Aisi Bandho Ganth Preet Ki,
Jae Na Kabhi Todi,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram ॥

Kyon Sukh Dhoondh Rahe Ho Aap Jamane Mein,
Gangajal Nahin Milta Hai Maikhane Mein,
Sachcha Sukh Shri Ram Sharan Mein,
Uske Hi Gun Yash Varnan Mein,
Bhakti Ki Boond Nichodi,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram ॥

Ram Naam Na Gaya Tune,
Bas Maya Hi Jodi,
Ram Naam Ke Siva Saath Na,
Jaen Phootee Kaudee,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram,
Jai Shri Ram, Jai Shri Ram ॥

राम नाम ना गाया तूने, बस माया ही जोड़ी - भजन हिन्दी में पढ़ें

राम नाम ना गाया तूने, बस माया ही जोड़ी, राम नाम के सिवा साथ ना, जाएं फूटी कौड़ी, जय श्री राम, जय श्री राम, जय श्री राम, जय श्री राम ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Maa Murade Puri Karde Main Halwa Batungi

Maa Murade Puri Karde Halwa Batungi । Jyot Jaga Ke, Sar Ko Jhuka Ke

Unche Unche Pahado Pe Maiya Ji Ka Basera Hai

Unche Unche Pahado Pe, Maiya Ji Ka Basera Hai, Niche Hum Rahate, Upar Maiya Ji Ka Dera Hai, Unche Unche Pahado Pe, Maiya Ji Ka Basera Hai ॥

Jai Shri Vallabh Jai Shri Vithal, Jai Yamuna Shrinathji

Jai Shree Vallabh, Jai Shree Vithal, Jai Yamuna Shreenath Ji । Kaliyug Ka to Jeev Uddharya, Mastak Dhariye Hath Ji

Baithi Pahadon Mein Maa Sharda Teri Mahima Ka Kya Kahna

Baithi Pahadon Mein Maan Sharada, Teri Mahima Ka Kya Kahana,, Hai Bhuvan Hajaron Mein

Naam Tera Durge Maiya Ho Gaya

Ambe Bhawani ,,, Ho O, Ambe Bhawani Tera Dhyan Sabhi Hai Dharte, Naam Tera Durga Maiya Ho Gaya,
Durgunon Ka Naas Karte Karte ॥

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP