नवरात्रि विशेष 2026 - Navratri Specials 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya (शरण हनुमत की जो आया: भजन)


Sharan Hanumat Ki Jo Aaya
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥
Nirbal Ke Balawan Kapi Hai,
Sab Devon Mein Mahaan Kapi Hai,
Mudhamati Ko Dete Hai Buddhi,
Gyaan Vaan Vidvaan Kapi Hai,
Daya Ka Roop Hanumat Ka,
Jagat Mein Sabase Nirala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Git Kapi Ke Jo Hai Gate,
Sradha Bhav Hai Maan Ko Bhate,
Sankat Main Jo Unhai Pukare,
Uska Shahara Ban Ke Aate,
Sabhi Ka Dhyan Jo Rakhta,
Anjani Maa Ka Laala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Ram Ki Bhakti Jo Bhi Karta,
Uske Hanuman Karta Dharta,
Krpa Se Sab Santaap Hai Mitate,
Ghar Angan Khusiyon Se Bharta,
Garibo Ka Sahara Ek,
Kapi Bajrangi Baala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai,
Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai,
Sharan Hanumat Ki Jo Aaya,
Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

शरण हनुमत की जो आया: भजन हिन्दी में पढ़ें

शरण हनुमत की जो आया, उसे पल में संभाला है, सामने आई जब बाधा, अंजनीसुत ने टाला है, शरण हनुमत की जों आया, उसे पल में संभाला है ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhaye Pragat Kripala Din Dayala

Bhaye Pragat Kripala, Deendayala, Kausalya Hitakari । Harashit Mahatari, Muni Mana Hari, Adbhut Roop Bichari

Meri Naiya Paar Lagegi Maa Khadi Hai Tu Us Paar

Meri Naiya Paar Lagegi, Maa Khadi Hai Tu Us Paar, Na Koi Majhi Saath Mein, Na Haathon Patavar ॥

Jagran Ki Raat Maiya Jagran Mein Aao

Jagran Ki Raat Maiya, Jagran Mein Aao, Maan Jagran Mein Aao, Aas Lagaye Baithe Hai Maan, Ab to Darash Dikhao, Jagran Ki Raat Maiya, Jagran Mein Aao, Maan Jagran Mein Aaon ॥

Daatiye Kar Chhanwa

Daatiye Kar Chhawan, Ammiye Tere Dware Vichchon, Jotaan De Lishkare Vichnon, Mehraan Bhare Bhandare Vichnon, Main Vi Khushiyan Pavaan, Daatiye Kar Chhawan, Tere Pyar Di Thandi Chhaan, Daatiye Kar Chhawan॥

Tere Swagat Mein Maiya Ji Maine Palke Bichayi Hai

Tere Swagat Mein Maiya Ji, Maine Palke Bichayi Hai, Maine Palke Bichayi Hai, Maine Palke Bichayi Hai,
Chali Aao Meri Maiya, Ghadi Subh Fir Se Aae Hai, Tere Swagat Mein Maiya Ji, Maine Palke Bichayi Hai ॥

Bhakton Ke Ghar Kabhi Aaja Sherawali

Bhakton Ke Ghar Kabhi, Aaja Sherawali, Kutiya Ka Maan, Badha Ja Sherawali, Bhakto Ke Ghar Kabhi, Aaja Sherawali ॥

Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP