Download Bhakti Bharat APP
Sawan 2024 - Hanuman Chalisa - Follow Bhakti Bharat WhatsApp Channel - Hanuman Chalisa -

Veeron Ke Shiromani, Hanuman Jab Chale (वीरो के भी शिरोमणि, हनुमान जब चले - भजन)


Veeron Ke Shiromani, Hanuman Jab Chale
Sugreev Bole Vaanron Tatkal Tum Jao
Shri Janki Maiya Ka Pata Milke Lagao
Are Hokar Nirash Tum Jo Mere Paas Aaoge
Ye Sunlo Kaan Khol Ke Sab Maare Jaoge
Ye Hukum Sunke Chal Padi Sugreev Ki Paltan
Sab Khoj Daale Ek Ek Jangal Pahaad Van

Mata Ko Khoj Nahin Paayen Jab Yo Bechaare
Maa Anjni Ke Laal Ko Sab Milke Pukaare
Hey Veer Var Hanuman Ab Shankat Se Chhudao
Hum Sab Sharan Hain Aapki Ab Laaj Bachao
Utho Hey Mahaveer, Utho Hey Mahaveer Nahin Der Lagao
Shri Janki Maiya Ka Pata Jaake Lagao

Ye Sunke Garaj Kar
Are Ye Sunke Garaj Kar Uthe
Jab Veer Var Hanuman
Tharr Gayi Jami,
Kaamp Utha Aasmaan

Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale - X3

Veero Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Shri Ram Ji Ka Karte Hue
Dhyan Jab Chale
Aur Ravan Ka Todne Vo
Abhiman Jab Chale

Arey! Dhar Kar Viraat Roop
Hey Dhar Kar Viraat Roop
Ban Toofan Jab Chale
Lanka Dahaade Hue Hanuman Jab Chale
Balvaan Jab Chale
Lanka Dahaade Hue Hanuman Jab Chale
Balvaan Jab Chale

Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale

Mata Ko Khojne Chale Jab
Anjni Kumar
Sab Vaanaron Ke Dal Mein
Machi Jay-jay Kaar

Maari Chhalang Aur Samundr Ko Hue Paar
Aakash Dol Utha
Are Aakash Dol Utha
Aur Hil Gaya Sansar
Vikraal Gada Haath Mein Vo Taan Jab Chale
Balvaan Jab Chale
Vikraal Gada Haath Mein Vo Taan Jab Chale
Balvaan Jab Chale

Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale - X2

Lanka Mein Pahunch Ke Die Vaatika Ujaad
Akshay Kumar Ko Die Dharti Pe Vo Pachhad
Aaya Jo Saamne Die Kakkdi Ke Jaise Phaad
Dushman Ke Ghar Mein Apna
Hey Dushman Ke Ghar Mein Apna
Jhanda Die Vo Gaad
Karte Hue Phir Yuddh Ghamaashaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale
Karte Hue Phir Yuddh Ghamashaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale

Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale - X2

Ye Haal Dekh Bhaage Sabhi Jaan Chhod Kar
Ravan Ko Batane Lage Vo Hath Jod Kar
Ek Kapi Ne Rakh Die
Bagiya Ke Saare Ped Todkar
Maara Hai Chambu Maali Ko
Aji Maara Hai Chambu Maali Ko
Gardan Marod Kar
Lanka Ka Mitaane Ko Vo Nishan Jab Chale
Balvaan Jab Chale
Lanka Ka Mitaane Ko Vo Nishaan Jab Chale
Balvaan Jab Chale

Haan Hey! Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale - X2

Shri Ram Ke Bhagat Ne
Vahaan Aisa Kiya Kamal
Lanka Ko Phoonke Daale
Anjni Ke Laal
Aankhe Milaaye Bajrangi Se
Sharmo Kiski Hai Majaal
Dushman Ko Chaba Daale
Are Dushman Ko Chaba Daale
Vo Banke Mahakaal
Lanka Ko Banaakar Ke
Vo Shamshaan Jab Chale
Balvaan Jab Chale
Lanka Ko Banaakar Ke
Vo Shamshaan Jab Chale
Balvaan Jab Chale

Hey! Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale - X2

Lanka Dahaadte Hue
Hanuman Jab Chale
Balvaan Jab Chale

Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale

Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale

Veeron Ke Bhi Shiromani
Balvaan Jab Chale
Hanuman Jab Chale

◉ The recitation of Hanuman Chalisa, Bajrang Baan and Sankatmochan Hanuman Ashtak are considered very prominent in the worship of Shri Hanumant Lal.

वीरो के भी शिरोमणि, हनुमान जब चले - भजन हिन्दी में पढ़ें

वीरो के भी शिरोमणि, बलवान जब चले, हनुमान जब चले
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path BhajanLakhbir Singh BhajanLakkha Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Shankar Bholenath Tera Damru Baje Parvat Pe

Shiv Shankar Bholenath, Tera Damaru Baje Parvat Pe, Tera Damaru Baje Parvat Pe, Shivshankar Bholenath O Nath, Tera Damaru Baje Parvat Pe ॥

Mahakal Ki Barat Mein

Dum Dhol Nagada Baje, Jhan Jhan Jhankara Baje, Dum Dum Dum Dumru Baje, Mahakal Ki Barat Mein, Mahakal Ki Barat Mein ॥

Khele Masane Mein Holi Digambar

Khele Masane Mein Hori, Digambar, Khele Masane Mein Hori, Bhoot Pisach Batori,
Digambar, Khele Masane Mein Hori ॥

Mera Bhola Bada Matwala

Mera Bhola Bada Matwala, Sohe Gale Bich Sarpo Ki Mala ॥

Mrityu Tale Na Mahakal Ke Bina

Vighn Tale Na Ganapati Ke Bina, Mrtyu Tale Na Mahakal Ke Bina, Danav Mare Na Maiya Gaura Ke Bina, Kaal Dare Na Mahakal Ke Bina ॥

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath, Teeno Lok Mein Tu Hi Tu । Shraddha Suman Mera, Man Belapatri...

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Hanuman Chalisa -
Hanuman Chalisa -
×
Bhakti Bharat APP