Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ye Shree Balaji Maharaj Hai Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai (ये श्री बालाजी महाराज है, रखते भक्तो की ये लाज है: भजन)


Ye Shree Balaji Maharaj Hai Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai
Ye Shree Balaji Maharaj Hai,
Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai,
Salasar Ke Mere Balaji,
Mere Siyaram Ki Saan Hai,
Ye Shree Balaji Maharaj Hai,
Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai ॥
Sabke Data Hain Ye,
Naam Hanuman Mila,
Thamkar Unki Ungali,
Hai Jo Bhi Chala,
Charanon Mein Baith Ke,
Inke Dekho Kabhi,
Dur Ho Jayegi,
Apki Har Bala,
Inke Upakar Hai Kya Kahe,
Ye Batana Na Asan Hai,
Salasar Ke Mere Balaji,
Mere Siyaram Ki Saan Hai,
Ye Shree Balaji Maharaj Hai,
Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai ॥

Aasra Hai Tera,
Sara Jag Ye Kahe,
Tere Charano Se Hi,
Prem Ganga Bahe,
Aaye Jo Bhi Yahan,
Dukh Ye Taal De,
Ram Kahata Hai Jo,
Ye Use Pyar De,
Bala Ke Rupa Main Hai Prabhu,
Deta Sabko Hi Bardan Hai,
Salasar Ke Mere Balaji,
Mere Siyaram Ki Saan Hai,
Ye Shree Balaji Maharaj Hai,
Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai ॥

Aapko Dar Pe Hum,
Yun Hi Aate Rahe,
Aapke Prem Ko,
Yun Hi Pate Rahe,
Karuna Milti Rahe,
AApke Charano Se,
Dhyan Mera Rahe,
AApke Charanon Main,
AAp Yun Hi Mehrava Rahe,
Sabke Dil Main Ye Arman Hai,
Salasar Ke Mere Balaji,
Mere Siyaram Ki Saan Hai,
Ye Shree Balaji Maharaj Hai,
Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai ॥

Ye Shree Balaji Maharaj Hai,
Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai,
Salasar Ke Mere Balaji,
Mere Siyaram Ki Saan Hai,
Ye Shree Balaji Maharaj Hai,
Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai ॥

ये श्री बालाजी महाराज है, रखते भक्तो की ये लाज है: भजन हिन्दी में पढ़ें

ये श्री बालाजी महाराज है, रखते भक्तो की ये लाज है, Mसालासर के मेरे बालाजी, मेरे सियाराम की शान है, ये श्री बालाजी महाराज हैं, रखते भक्तो की ये लाज है ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Dunia Chale Na Shriram Ke Bina

Duniya Chale Na Shri Ram Ke Bina, Ram Ji Chale Na Hanuman Ke Bina ।

Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ki Nahi

Wo Namaste Dua Aur, Salam Ka Nahi, Jo Ram Ka Nahi, Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Mhari Vinti Suno The Hanuman

Mhari Bhakti Suno The Hanuman, Dharun Mein Tharo Dhyan, Bega Sa Aao Balaaji, Bega Sa Aao Balaaji, Bhagtan Ki SunoJyo Balaaji ॥

Hey Ram Bhakt Hanuman Ji Mujhe Aisi Bhakti Do

Hey Ram Bhakta Hanuman Ji, Mujhe Asi Bhakti Do, Charanon Ko Sewa Kar Sakun, Prabhu Asi Shakti Do, Hey Ram Bhakta Hanuman Ji ॥

Balaji Tumhare Charno Mein Main Tumhe Rjhane Aaya Hun

Balaji Tumhare Charanon Main, Main Tumhai Rijhane Aaya Hun ॥

Ramchandra Keh Gaye Siya Se

Ramchandra Kah Gaye Siya Se, Hey Ramchandra Kah Gaye Siya Se, Aisa Kalyug Aayega, Hans Chugega Dana Dunka...

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP