Angana Padharo Maharani (अंगना पधारो महारानी - भजन)


Angna Padharo Maharani,
Mori Sharda Bhawani,
Sharda Bhawani Mori,
Sharda Bhawani,
Kardo Kripa Maharani,
Mori Sharda Bhawani,
Angna Padharo Maharani ॥
Unchi Pahdiya Pe Mandir Bano Hai,
Mandir Mein Maiya Ko Aasan Lago Hai,
Aasan Pe Baithi Maharani,
Mori Sharda Bhawani,
Angna Padharo Maharani ॥

Rogi Ko Kaya De Nirdhan Ko Maya,
Banjhan Pe Kirpa Lalan Ghar Aaya,
Maiya Badi Vardaani,
Mori Sharda Bhawani,
Angna Padharo Maharani ॥

Maihar Mein Dhundhi Dongargadh Mein Dhundhi,
Kalkatta Katra Jalandhar Mein Dhundhi,
Vijaraghavgadh Mein Dekhani,
Mori Sharda Bhawani,
Angna Padharo Maharani ॥

Maihar Ko Dekho Ya Vijaraghavgadh Ko,
Eki Dikhe Mori Maiya Ke Madh Ko,
Mahima Tumhari Nahi Jaani,
Mori Sharda Bhawani,
Angna Padharo Maharani ॥

Maiya Ko Bhar Sambhale Re Panda,
Hatho Mein Jinke Bhawani Ko Jhanda,
Jhanda Pe Baithi Maharani,
Mori Sharda Bhawani,
Angna Padharo Maharani ॥

Mahima Tumhari Bhagat Jo Bhi Gaye,
‘Moni’ Bhi Maiya Ke Charnan Mein Aaye,
Kardo Madhur Mori Vaani,
Mori Sharda Bhawani,
Angna Padharo Maharani ॥

Angna Padharo Maharani,
Mori Sharda Bhawani,
Sharda Bhawani Mori,
Sharda Bhawani,
Kardo Kripa Maharani,
Mori Sharda Bhawani,
Angna Padharo Maharani ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
अंगना पधारो महारानी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
अंगना पधारो महारानी, मोरी शारदा भवानी, शारदा भवानी मोरी..
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Aa Laut Ke Aaja Hanuman

Aa Laut Ke Aaja Hanuman, Tumhe Shri Ram Bulate Hain । Janaki Ke Base Tumame Pran, Tumhe Shri Ram Bulate Hain

Buti Le Aao Hanuman Pyare

Buti Le AAo Hanuman Pyare, Mere Laxam Ke Pran Bachana, Dubati Tere Ram Ki Naiya, Bala Tu Aake Par Lagana, Buti Le AAo Hanuman Pyare, Mere Laxam Ke Pran Bachana ॥

Ye Shree Balaji Maharaj Hai Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai

Ye Shree Balaji Maharaj Hai, Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai, Salasar Ke Mere Balaji, Mere Siyaram Ki Saan Hai, Ye Shree Balaji Maharaj Hai, Rakhte Bhakto Ki Ye Laaj Hai ॥

Bajrangbali Hanuman Tera Jag Mein Danka Baj Raha

Bajarangi Hanuman, Tera Jag main Danka Baaj Raha ॥

Meri Rasna Se Prabhu Tera Naam Nikle

Meri Rasna Se Prabhu Tera Naam Nikle, Har Ghadi Har Pal Ram Ram Nikle ॥