Bam Bam Bhola Pahna Sanyasi Chola (बम बम भोला, पहना सन्यासी चोला - भजन)


Bam Bam Bam Bam Bam Bhola,
Pahna Sanyasi Chola,
Kandhe Jhola Anmola Daal Ke,
Darshan Karne Chale Hain Nandlaal Ke ॥
Dev Ganon Se Vida Maang Shiv,
Gokul Nagri Aaye,
Mata Yashoda Ke Dwar Par,
Shiv Ne Alakh Jagaye,
Sunke Maiya Na Der Lagai,
Daudi Darwaje Aai,
Thaali Motiyan Bhar Lai Maal Ke,
Darshan Karne Chale Hain Nandlaal Ke ॥

Na Chahiye Tere Heere Moti,
Na Chahiye Teri Maya,
Chhod Kar Parvat Aaya Meri Maiya,
Apne Laal Ke Daras Kara De,
Chhodkar Parvat Aaya,
Maiya Poore Bhe Tere Sapne,
Main Bhi Ab Jaoon Tapne,
Darshan Karava De Apne Laal Ke,
Darshan Karne Chale Hain Nandlaal Ke ॥

Rang Hai Tera Kala Peela,
Shakl Bhaynkar Bhaari,
Laal Mero Dar Ke Dahalave,
Abhi Umar Hai Baali,
Jogi Kaise Laala Dikhlaoon,
Man Mein Main at Ghabraoon,
Paale Kyun Kar Padvaoon Kaal Ke,
Darshan Karne Chale Hain Nandlaal Ke ॥

Tu to Yashoda Bhi Baawri,
Kyon Man Mein Ghabraave Meri Maiya,
Ta Ko Hukam Bajave Meri Maiya,
Teenlok Ko Nath Kaal Bhi,
Ta Ko Hukm Bajaave Ri Maiya,
Nath Trilok Kahaye,
Tene Hi God Khilaye,
Akshar Kya Shubh Likhvaye Bhaal Ke,
Darshan Karne Chale Hain Nandlaal Ke ॥

Kaan Aawaj Padi Mohan Ke,
Shiv Dware Par Aaye,
Chhod Ke Palna Chale Kanhaiya,
Ghutwan Ghutwan Dhaaye,
Aakar Donon Ne Nain Milayen,
Man Hi Man Main Muskaye,
Mahima Ke Bhed Batayen Haal Ke,
Darshan Karne Chale Hain Nandlaal Ke ॥

Bam Bam Bam Bam Bam Bhola,
Pahna Sanyasi Chola,
Kandhe Jhola Anmola Daal Ke,
Darshan Karne Chale Hain Nandlaal Ke ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
बम बम भोला, पहना सन्यासी चोला - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बम बम बम बम बम भोला, पहना सन्यासी चोला, कांधे झोला अनमोला डाल के, दर्शन करने चले हैं नंदलाल के ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Radhe Radhe Japo Chale Aayenge Bihari

Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Rato Chale Ayenge Bihari, Ayenge Bihari Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari ॥

Tu Hi Kanhaiya Tu Hi Lakhdatar Hai

Tu Hi Kanhaiya Tu Hi Lakhdatar Hai, Lakhdatar Hai Tu Lile Ka Sawar Hai, Sanware Teri to Lila Aprampar Hai, Mohana Tu Hi Lakhdatar Hai ।

Itni Kirpa Sanware Banaye Rakhna

Itni Kirpa Sanware Banaye Rakhna, Marte Dam Tak Seva Mein Lagaye Rakhna, Itni Kirpa Sanware ॥

Dhara Too Beh Rahi Hai

Dhara to Bah Rahi Hai, Shri Radha Naam Ki, Radha Radha Ratat Hi, Sab Vyadha Mit Jaye..

Mhara Kunj Bihari Krishna Murari

Mhara Kunj Bihari, Krishn Murari, Barsaane Baaga Mein Bole Mor ॥