Banto Banto Mithai Manao Khushi (बांटो बांटो मिठाई मनाओ ख़ुशी - भजन)


Banto Banto Mithai Manao Khushi,
Munh Mitha Karvao Avadh Vasiyo ।
Aaj Van Se Avadh Aa Rahe Hai Prabhu,
Deep Mala Sajao Avadh Vasiyo ।
Aa Rahe Ram Ravan Ka Sangar Kar,
Paapi Asuro Se Dharti Ka Udhar Kar,
Kaali Kajrari Rajani Amavasya Ki,
Isse Roshan Banao Avadh Vasiyo,
Banto Banto Mithai Manao Khushi ।

Mata Sita Sahit Shri Lakhan Yamvant,
Veer Hanuman Sugreev Angad Ke Sang,
Vo Bhi Lanka Pati Shri Bivishan Ko Bhi,
Apne Van Ka Karao Avadh Vasiyo,
Banto Banto Mithai Manao Khushi ।

Aa Raha Ram Ka Rajye Goonje Ye Swar,
Jhoome Kuldeep Sarayu Ki Paavan Lahar,
Pushp Varsha Kare Dev Devendar Sang,
Dharti Maa Ko Sajao Avadh Vasiyo
Banto Banto Mithai Manao Khushi ।
बांटो बांटो मिठाई मनाओ ख़ुशी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बांटो बांटो मिठाई मनाओ ख़ुशी, मुँह मीठा करवाओ अवध वासियो, आज वन से अवध आ रहे है प्रभु..
Bhajan Diwali BhajanAyodhya BhajanRam Mandir BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanJai Shri Ram BhajanJanmbhoomi BhajanRam Janmbhoomi Bhajan5 August BhajanShilanyas BhajanAwadh Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,