Bola Prabhu Se Yun Kevat Yah Vinati Hai Sarkar (बोला प्रभु से यूँ केवट, यह विनती है सरकार: भजन)


Bola Prabhu Se Yun Kevat,
Yah Vinti Hai Sarkar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥
Bina Charan Dhoye Main Ramji,
Naav Mein Nahi Bithaunga,
Ban Jaye Jo Naav Yah Naari,
Bina Maut Mar Jaoonga,
Mera Naav Se Ghar Chalta Hai,
Kya Khayega Parivar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥

Ram Bhagat Hoon Ram Aan,
Dashrath Ji Ke Jaise Karta,
Marna Jeena Dukh-sukh Jo Bhi,
Inse Main Nahin Darta,
Utrai Bhi Na Loonga,
Maanunga Main Aabhaar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥

Haar Gaye Bhagwan Bhagat Se,
Apna Charan Dhulate Hain,
Dhanya Hai Kevat Pushp Devta,
Ambar Se Barsaate Hain,
Parivar Sahit Kevat Ne,
Kiya Pitron Ka Uddhar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥

Ek Bhagat Parivar Mein Ho to,
Sara Kul Tar Jaata Hai,
Prabhu Se Vimukh Adham Jeevan,
Dharti Ka Bhaar Badhaata Hai,
Shambhoo Jis Din Aaoge,
Kya Dekhega Yah Sansar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥

Bola Prabhu Se Yun Kevat,
Yah Vinti Hai Sarkar,
Charan Dhulao Ram Ji,
Jana Ho Jo Paar ॥
बोला प्रभु से यूँ केवट, यह विनती है सरकार: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बोला प्रभु से यूँ केवट, यह विनती है सरकार, चरण धुलाओ राम जी, जाना हो जो पार ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanBhagwan Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar

Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar Hathon Mein Phoolon Ka Dauna Bhi Sohe Sundar Gale Mein Sohe Haar

Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe

Shri Ram Bhajan Video: Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe, Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...

Kanhaiya Le Chal Parli Paar

Kanhaiya Le Chal Parli Paar, Saawariya Le Chal Parli Paar, Jaha Birajo Meri Radha Rani, Albeli Sarkar ॥

Ram Charan Chit Lai Re Bhajo Radhe Govinda

Ram Charan Chit Lai Re, Bhajo Radhe Govinda, Bhaktan Ke Sukhdayi Re, Bhajo Radhe Govinda, Jab Maara Tab Tab Taara

Ram Nam Japte Raho, Jab Tak Ghat Ghat Me Ram

Ram Naam Japte Raho, Jab Tak Ghat Ghat Me Pran । Ram Bhajo, Ram Rato