Bolo Har Har Har From Shivaay Movie (बोलो हर हर हर, फिल्म शिवाय - भजन)


Aag bahe teri rag mein
Tujh sa kahan koi jag mein
Hai waqt ka tu hi toh pehla pehar
Tu aankh jo khole toh dhaaye kehar.
to bolo har har (x2).

Aadi na ant hai uska
Wo sabka na inka unka
Wahi hai mala wohi hai manka
Mast malang woh apni dhun ka,

Jantar mantra tantar gyani
Hai sarvagya swabhimani
Mrityun-jai hai maha vinashak
Omkar hai isi ki baani,

Isi ki isi ki isi ki baani (x2).

Bhang dhatura bel ka patta,
Teeno lok isi ki satta,
Vish pee kar bhi adig amar hai,
Mahadev har har hai japta.

Wohi shunya hai wohi ikaaye (x2)
Jiske bheetar basa shivaay.

Aghoranna paro mantra
Nasti tatwam guro param
Nagendra haraye Trilochanaye
Basmanga ragaye maheswaraye
Nithyaya shudhaye digambaraye
Tasmai nakaraya Namashivaye,

Shivam rakhtramam
Shivam paahimam
Shivam trahimam
Shivam rakshmam
Shivam paahimam
Shivam trahimam
Mahadev ji
Pam paahimam sharnagatam
Twam paahimam
Pam rakshmam shiv
paahimam shiv.

Aankh moond kar dekh raha hai
Saath samay ke khel raha hai
Mahadev maha-ikaaki
Jiske liye jagat hai jhaanki,

Jataa mein ganga chaand mukut hai
Soumya kabhi-kabhi bada vikat hai,

Aag se janma hai kaislashi
Shakti jiski daras ki pyasi
Hai pyaasi
haan pyasi.

Ram bhi uska raavan uska
Jeevan uska maran bhi uska,

Tandav hai aur dhyan bhi woh hai
Agyani ka gyan bhi wo hai.

Aankh teesri jab ye khole
Hile dhara aur swarg bhi dole,

Goonj uthe har disha shitij mein
Naag ussi ka bam bam bole.

Wohi shunya hai wohi ikaaye (x3),
Jiske bhitar basa shivaay,

Toh bolo har har har,

Ja ja kailash ja kar vinaash
Ja ja kailash ja kar vinaash
Ja ja kailash ja kar vinaash
Ja ja kailash ja sarvanaash
Toh bolo har har har (x2).

Yaksha swaroopaya jatta dharaya
Pinaka hasthathaya sanathanaya
Divyaya devaaya digambaraya
Tasmai yakaraya namashivaya.
बोलो हर हर हर, फिल्म शिवाय - भजन - हिन्दी में पढ़ें
आग बहे तेरी रग में, तुझसा कहाँ कोई जग में, है वक़्त का तू ही तो पहला पहर...
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanShivaay Movie BhajanShiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanShivaay Movie BhajanBollywood Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hara Hoon Baba Bas Tujhpe Bharosa Hai

Hara Hoon Baba Bas Tujhpe Bharosa Hai, Jeetunga Ek Din, Mera Dil Ye Kahata Hai, Mere Manjhi Ban Jao, Meri Naav Chala Jao..

Suno Suno Hanuman Ji Ek Jaruri Kaam Ji

Suno Suno Hanuman Ji, Ek Jaruri Kaam Ji, Ram Prabhu Se Karava Dyo, Bhagata Ki Pahachan Ji, Ram Prabhu Se Karava Dyo, Bhagata Ki Pahachan Ji ॥

Ram Dulare Hai Anjani Ke Pyare Hai

Ram Dulare Hai, Anjani Ke Pyare Hai, Bhakto Ke Bigade Kaam, Paal Mein Saware Hai, Jay Ho Tumhari Hanuman, Maa Anjani Ke Laala ॥

Sunlo Baba Bajrangi Main Kaise Tujhe Rijhaun

Sunlo Baba Bajrangi, Main Kese Tujhe Rijhaun, Charanon Mein Mujhe Bitha Lo, Main Tumse Itna Chahun,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram, Ram Siyaram Siyaram Siyaram ॥

Prarthana Hai Yahi Meri Hanuman Ji

Prathana Hai Yahi Meri Hanuman Ji, Mere Sar Par Bhi Ab Haath Thar Dijiye, Ram Sita Ka Darshan Karake Mujhe, Mere Sapne Ko Sakar Kar Dijiye, Prathana Hai Yahi Meri Hanuman Ji, Mere Sar Par Bhi Ab Haath Dhar Dijiye ॥