Dard Kisako Dikhaun Kanaiya (दर्द किसको दिखाऊं कन्हैया - भजन)


Dard Kisko Dikhaun Kanhaiya,
Koi Hamdard Tumsa Nahin Hai,
Duniya Wale Namak Hai Chhidakte,
Koi Marham Lagata Nahin Hai ।
Dard Kiskon Dikhaun Kanhaiya,
Koi Hamdard Tumsa Nahin Hai ॥
Kisko Bairi Kahoon Kisko Apna,
Jhoothe Vaade Hai Saare Ye Sapna,
Ab to Kahane Mein Aati Sharam Hai,
Rishte Naate Ye Saare Bharam Hai,
Dekh Khushiyan Meri Zindagi Ki,
Raas Apnon Ko Aati Nahin Hai ।
Dard Kiskon Dikhaun Kanhaiya,
Koi Hamdard Tumsa Nahin Hai ॥

Thokron Par Hai Thokar Khaya,
Jab Bhi Dil Dusro Se Lagaya,
Har Kadam Pe Hai Sabne Giraya,
Sabne Swarath Ka Rishta Nibhaya,
Tujhse Naina Ladana Kanhaiya,
Duniya Walo Ko Bhata Nahin Hai ।
Dard Kiskon Dikhaun Kanhaiya,
Koi Hamdard Tumsa Nahin Hai ॥

Dard Kisko Dikhaun Kanhaiya,
Koi Hamdard Tumsa Nahin Hai,
Duniya Wale Namak Hai Chhidakte,
Koi Maraham Lagaata Nahin Hai ।
Dard Kiskon Dikhaun Kanhaiya,
Koi Hamdard Tumsa Nahin Hai ॥
दर्द किसको दिखाऊं कन्हैया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
दर्द किसको दिखाऊं कन्हैया, कोई हमदर्द तुमसा नहीं है, दुनिया वाले नमक है छिड़कते..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanShri Radha Krishna BhajanShri Shayam BhajanFalgun Mela Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Lanka Jalayi Karamaat Ho Gayi

Pawan Tanay Sankat Haran, Mangal Murti Roop। Ram Lakhan Sita Sahit,Hriday Basahun Sur Bhoop॥ Prabhu Ram Bhi Rni Hai Hanuman Ji Tumhare। Sab Kaam Ram Ji Ke, Tumne Sada Sanware॥

Aadi Ant Mera Hai Ram

Aadi Ant Mera Hai Ram, Un Bin Aur Sakal Bekaam ॥

Parades Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum

Parades Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum, Kaise Jiyenge Hum Kanhaiya, Kaise Jiyenge Hum,
Dil Leke Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum ॥

Tumhari Yaad Aati Hai Batao Kya Karen Mohan

Tumhari Yaad Aati Hai, Batao Kya Karen Mohan, Tumhari Yaad Aati Hai, Batao Kya Karen Mohan ॥

Khul Gaya Bank Radha Rani Ke Naam Ka

Khul Gaya Baink Radha, Raani Ke Naam Ka, Baitha Banke Manager, Kanha Nandganv Ka, Baitha Banke Manager, Kanha Nandganv Ka ॥