Dekh Liya Sansar Hamne Dekh Liya (देख लिया संसार हमने देख लिया - भजन)


Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya,
Sab Matlab Ke Yaar Humne Dekh Liya ।
Tan Nirog Dhan Jeb Mein Jab Tak,
Man Se Seva Karoge Jab Tak
Manega Parivar Humne Dekh Liya,
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।

Jis Jis Ka Vishwas Kiya Hai,
Usne Hamein Niras Kiya Hai
Bankar Rishtedar Humne Dekh Liya,
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।

Kahi Chot Lagjaye Na Tan Ko,
Sabhi Samajhte Hai Nirdhan Ko
Girti Hui Deevar Humne Dekh Liya,
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।

Pratibha Ka Kuchh Mol Nahin Hai,
Saphal Sidhd Anmol Vahi Hai
Jiska Prabal Prachar Humne Dekh Liya,
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।

Santo Ka Sandesh Yahi Hai
Mool Mantra Hari Om Yahi Hai
Hari Sumiran Hai Sar Humne Dekh Liya
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।
Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya ।

Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya,
Sab Matlab Ke Yaar Humne Dekh Liya ।
देख लिया संसार हमने देख लिया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
देख लिया संसार हमने देख लिया, सब मतलब के यार हमने देख लिया ।
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanRajeshwaranand Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara!

Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara, Hari Ke Bhajan Bin, Hari Ke Bhajan Bin, Nahin Gujara

Sab Dhamo Se Dham Nirala Shri Vrindavan Dham

Sab Dhamon Se Dham Nirala, Shri Vrindavan Dham, Kunj Nikunj Mein Jahan Viraje, Pyare Shyama Shyam, Mera Vrindavan Pyara, Mera Brajdham Hai Nyara..

Main To Apne Shyam Ki Diwani Ban Jaungi

Main to Apne Shyam Ki, Diwani Ban Jaungi, Mastani Ban Jaungi...