Dware Chaliye Maiya Ke (द्वारे चलिए मैया के - भजन)


Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye,
Le Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥Rimjhim Rimjhim Sawan Barse,
Aayi Rut Matwali,
Jai Maan Jai Maan Koyal Bole,
Baith Aam Ki Daali,
Unche Parvat Bhawan Sunhara,
Chhai Hai Hariyali,
Pindi Roop Viraje Maiya,
Bhakto Ki Pratipali,
Le Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥

Bhakto Ke Chal Pade Hai Tole,
Laal Dhwaja Phaharate,
Jhaanjh Manjeera Dholak Le,
Gungaan Maiya Ke Gaate,
Paon Mein Pad Gaye Hai Chhaale,
Phir Bhi Chalte Jaate,
Laakh Musibat Aaye,
Maan Ke Bhakt Nahin Ghabraate,
Ho Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥

Chhod Moh Duniya Ka ‘Lakhkha’,
Ban Ja Maan Ka Chakar,
Karle Apni Saphal Zindagi,
Maan Ki Sharan Mein Aakar,
Sach Hai Kitne Paapi Tar Gaye,
Maan Ki Mahima Gakar,
Phir Bol ‘Saral’ Tu Jai Mata Ki,
Donon Hath Uthakar,
Ho Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥

Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye,
Le Aaya Sawan Ka Mahina,
Lene Nazaare Chaliye,
Dware Chaliye Maiya Ke,
Dware Chaliye ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
द्वारे चलिए मैया के - भजन - हिन्दी में पढ़ें
द्वारे चलिए मैया के, द्वारे चलिए, ले आया सावन का महीना, लेने नज़ारे चलिए, द्वारे चलिए मईया के, द्वारे चलिए ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Mere Gannayak Tum Aa Jao

Meri Sakhiyan Mujhse Poochhe Hai, Kab Aayenge Gajmukh Bolo, Ab Ashtavinayak Aa Jao, Main to Kabse Baat Nihar Rahi, Mere Gananayak Tum Aa Jaon, Main to Kabse Baat Nihar Rahi, Mere Gananayak Tum Aa Jao ॥

Gauri Sut Shankar Lal

Gauri Sut Shankar Laal, Vinayak Meri Araj Suno, Baitha Bhagvat Maha Pooran, Vinayak Meri Araj Suno, Gauri Sut Shankar Laal, Vinayak Meri Araj Suno ॥

Mere Deva Gajanand Ki Mahima Nyari

Mere Deva Gajanand Ki Mahima Niyari, Mata Gaura Shiv Pita Tripurari, Jai Ho Jai Ho Gajanand Tumhari, Jai Ho Jai Ho Gajanand Tumhari ॥

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati, Aapki Meharbani Humen Chahiye, Pahle Sumiran Karoon Ganpati Aapka, Lab Pe Mithi Si Vani Humen Chahiye, Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

Hui Galiyon Mein Jai Jaikaar

Naachi Man Mein Umang, Bhara Khushiyon Ne Rang, Nachi Man Mein Umang, Bhara Khushiyon Ne Rang, Goonji Ganpati Teri Jaikar, Aaya Ganpati Tera Tyauhar, Hui Galiyon Mein Jai Jaikar, Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥