Hey Shivshankar Hey Karunakar (हे शिवशंकर, हे करुणाकर - भजन)


Hey Shivshankar Hey Karunakar,
Hey Parmeshwar Parampita
Har Har Bhole Namah Shivay,
Namah Shivay Om Namah Shivay
Hey Shiv Shambhu Sankatharta,
Vighnavinashi Mangalkarta
Jis Par Hove Kripa Tumhari,
Pal Mein Vipda Door Ho Sari
Tum Sukhsagar Hey Jagadishwar

Hey Shivshankar Hey Karunakar,
Hey Parmeshwar Parampita

Devadidev Jay Mahadev,
Sur Nar Muni Sab Karte Hain Seva
Namah Shivay Mantra Panchakshar,
Jisne Japa Khush Ho Gaye Us Par
Tum Ho Dayalu He Bholeshwar

Hey Shivshankar Hey Karunakar,
Hey Parmeshwar Parampita

Bam-bam Bhole Damroo Bole,
Tumne Dwar Daya Ke Khole
Jo Bhi Aaya Sharan Tumhari,
Rakshak Ban Gaye Tum Tripurari
Trishuldhar Hey Mahakaleshwar

Hey Shivshankar Hey Karunakar,
Hey Parmeshwar Parampita

Brahma Vishnu Dhyan Lagave,
Ved Puran Shastra Yash Gave
Girijapati Anant Avinashi,
Aananddata Vishwaprakashi
Tum Sarveshwar Hey Someshwar

Hey Shivshankar Hey Karunakar,
Hey Parmeshwar Parampita

Poojan Kiye Shriram Tumhara,
Lanka Jeeti Ravan Mara
Deenanath Prabhu Sukhdata ,
Aughadadani Bhagyavidhata
Tum Rameshwar Hye Bhakteshwar
Bhaktibharat Lyrics

Hey Shivshankar Hey Karunakar,
Hey Parmeshwar Parampita
Har Har Bhole Namah Shivay,
Namah Shivay Om Namah Shivay
हे शिवशंकर, हे करुणाकर - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे शिवशंकर हे करुणाकर, हे परमेश्वर परमपिता, हर हर भोले नमः शिवाय,
Bhajan Shiv BhajanMahadev BhajanKawadiya BhajanKanwar BhajanSavan BhajanShravan BhajanShiv BhajanBholenath BhajanShivaratri BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanAnuradha Paudwal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Chalo Chaliye Maa Ke Dham Bulawa Aaya Hai

Chalo Chalie Maa Ke Dhaam, Maiya Ne Bulaya Hai, Aaya Khushiyon Ka Paigaam, Maiya Ne Bulaya Hai,
Bulawa Aaya Hai, Sandesa Aaya Hai, Aae Chitthi Sabke Naam, Maiya Ne Bulaya Hai, Chalo Chalie Maa Ke Dhaam, Maiya Ne Bulaya Hai ॥

Navratri Ka Tyohar Aaya

Navratri Ka Tyohar Aaya, Vaishno Maiya Ne Humko Bulaya ॥

Main Pardesi Hun Pehli Bar Aaya Hun

Main Pardesi Hun Pahli Bar Aaya Hun, Darshan Karne Maiya Ke Darbar Aaya Hun ।