Hui Galiyon Mein Jai Jaikaar (हुई गलियों में जय जयकार - भजन)


Hui Galiyon Mein Jai Jaikar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥
Naachi Man Mein Umang,
Bhara Khushiyon Ne Rang,
Nachi Man Mein Umang,
Bhara Khushiyon Ne Rang,
Goonji Ganpati Teri Jaikar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar,
Hui Galiyon Mein Jai Jaikar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥

Uncha Aasan Sajayen,
Tumhe Ghar Mein Bithayen,
Uncha Aasan Sajayen,
Tumhe Ghar Mein Bithayen,
Tere Charanon Mein Hai Sansar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar,
Hui Galiyon Mein Jai Jaikar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥

Shiv Phule Na Samaye,
Gaura Vaari Vaari Jaye,
Shiv Phule Na Samaye,
Gaura Vaari Vaari Jaye,
Aae Jag Ke Palanhar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar,
Hui Galiyo Mein Jai Jaikar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥

Shankh Ankush Liye Aaye,
Kamal Paash Liye Aaye,
Shankh Ankush Lie Aaye,
Kamal Paash Liye Aaye,
Aaye Mooshak Pe Hoke Sawar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar,
Hui Galiyo Mein Jai Jaikar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥

Mansa Poori Karo,
Sabki Jholi Bharo,
Mansa Poori Karo,
Sabki Jholi Bharo,
Sare Jag Ke Tum Kartaar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar,
Hui Galiyon Mein Jai Jaikar,
Aaya Ganpati Tera Tyauhar ॥
हुई गलियों में जय जयकार - भजन - हिन्दी में पढ़ें
नाची मन में उमंग, भरा खुशियों ने रंग, नाची मन में उमंग, भरा खुशियों ने रंग, गूंजी गणपति तेरी जयकार, आया गणपति तेरा त्यौहार, हुई गलियों में जय जयकार, आया गणपति तेरा त्यौहार ॥
Bhajan Ganesh Puja BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanAsthavinayak BhajanSidhivinayak Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen