Kanhaiya Dauda Aayega (कन्हैया दौडा आएगा - भजन)


Apne Bhagat Ki,
Aankh Mein Aansu,
Dekh Na Payega,
Jab Jab Bhi Shyam Divanon Ke,
Sar Pe Sankat Mandrayega,
Kanhaiya Dauda Aayega,
Apne Bhagton Ke Liye,
Kuch Bhi Kar Jayega,
Kanhaiya Dauda Aayega ॥
Jab Door Savera Ho,
Ghanghor Andhera Ho,
Mere Shyam Ki Aas Lagaye Ja,
Tu Chhod De Naiya Ko,
Bas Shyam Bharose Par,
Bas Shyam Naam Gun Gaye Ja,
Bankar Ke Majhi ,
Bhav Sagar Paar Karayega,Sanwariya
Kanhaiya Dauda Aayega
Kanhaiya Dauda Aayega ॥

Har Ek Musibat Hi,
Khud Hal Ho Jayegi,
Jab Morachhadi Laharayega,
Godi Mein Baithakar Ke,
Seene Se Lagakar Ke,
Tere Sir Par Hath Phirayega,
Jitne Bhi Ashk Bahe Tere,
Har Ek Ka Mol Chukayega,
Kanhaiya Dauda Aayega
Kanhaiya Dauda Aayega ॥

Vishwas Ki Dori Ko,
Tu Tham Le Kas Kar Ke,
Banka Na Hoga Baal Tera,
Saye Sa ‘Tarun’ Tere,
Sang Chalta Jayega,
Ye Bankar Ke Rakhwal Tera,
Sankat Pe Sankat Banakar Ke,
Mera Shyam Swayan Chadh Jayega,
Kanhaiya Dauda Aayega
Kanhaiya Dauda Aayega ॥
Bhaktibharat Lyrics

Apne Bhagat Ki,
Aankh Mein Aansu,
Dekh Na Payega,
Jab Jab Bhi Shyam Divanon Ke,
Sar Pe Sankat Mandrayega,
Kanhaiya Dauda Aayega,
Apne Bhagton Ke Liye,
Kuchh Bhi Kar Jayega,
Kanhaiya Dauda Aayega ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
कन्हैया दौडा आएगा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जब मन मेरा घबराए, कोई राह नज़र ना आये, ये हाथ पकड़ कर मेरा, कन्हैया दौडा आएगा..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanKhatu BhajanKhatu Shayam BhajanFalgun Mela BhajanRajani Rajasthani Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..