Maa Anjani Ka Pyara Lal (माँ अंजनी का प्यारा लाल - भजन)


Maa Anjani Ka Pyara Lala,
Ghota Haath Langota Laal,
Jo Bhi Dhyaan Lagaye Dil Se,
Jo Bhi Dhyaan Lagaye Dil Se,
Deta Hai Sankat Ko Taal,
Maa Anjani Ka Pyara Lala,
Ghota Haath Langota Laal ॥
Bhola Ka Avatar Hai Bajarang,
Veeron Ka Sardar Hai Bajrang,
Bhakton Ke Khatir Dauda Aaye,
Bhakton Ke Khatir Dauda Aaye,
Aur Dusthon Ka Ye Hai Kaal,
Maa Anjani Ka Pyara Lala,
Ghota Haath Langota Laal ॥

Shree Ram Ki Angya Pakar,
Lalkare Ye Lanka Jakar,
Akshay Ko Mare Patak Patak Kar,
Akshay Ko Mare Patak Patak Kar,
Roop Dhara Kesa Bikaral,
Maa Anjani Ka Pyara Lala,
Ghota Haath Langota Laal ॥

Jab Ahiravan Ne Chal Karke,
Laya Ram Lakhan Ko Har Ke,
Roop Devi Ka Pahunche Thar Ke,
Roop Devi Ka Pahunche Thar Ke,
Panchamukhi Hanumat Patal,
Maa Anjani Ka Pyara Lala,
Ghota Haath Langota Laal ॥

Adbhut Maya Hai Hanumat Ki,
Rekha Badale Ye Kismat Ki,
'Lakhkha' Baat Bataye Sacchi,
'Lakhkha' Baat Bataye Sacchi,
Dhyan Laga Le O 'Rajpal',
Maa Anjani Ka Pyara Lala,
Ghota Haath Langota Laal ॥

Maa Anjani Ka Pyara Lala,
Ghota Haath Langota Laal,
Jo Bhi Dhyaan Lagaye Dil Se,
Jo Bhi Dhyaan Lagaye Dil Se,
Deta Hai Sankat Ko Taal,
Maa Anjani Ka Pyara Lala,
Ghota Haath Langota Laal ॥
माँ अंजनी का प्यारा लाल - भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ अंजनी का प्यारा लाल, घोटा हाथ लंगोटा लाल, जो भी ध्यान लगाए दिल से, जो भी ध्यान लगाए दिल से, देता है संकट को टाल, मां अंजनी का प्यारा लाल, घोटा हाथ लंगोटा लाल ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne, Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai, Jo Ped Humne Lagaya Pahale...

Ram Ko Dekh Ke Janak Nandini

Ram Ko Dekh Kar Ke Janak Nandini, Bag Mein Vo Khadi Ki Khadee Rah Gayi...

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Maiya Odh Chunariyan Lal Ke Bethi Kar Solha Shingar

Maiya Odh Chunariya Laal, Ke Baithi Kar Solah Shringar, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage ॥

Sun Meri Maat Meri Baat

Sun Meri Maat Meri Baat, Chhani Koni Tere Se, Aankhdali Churake Maiya, Jaasi Kathe Mere Se ॥