Maiya Bulale Navrate Mein (मैया बुलाले नवराते में, नाचेंगे हम सब जगराते में - भजन)


Maiya Bulale Navrate Mein,
Nachenge Hum Sab Jagrate Mein,
Maan Ki Murat Bas Gai Aankho Mein,
Nachenge Hum Sab Jagrate Mein ॥
Pardesi Hoon Par Bhula Na Paun,
Maan Ke Dar Jana to Main Bhi Chahoon,
Balak Samajh Maan Mujhe Naat De,
Sandesha Ye Auro Ko Baant De,
Chitthi Lagi Ab Ke Hatho Mein,
Nachenge Hum Sab Jagrate Mein ॥

Chadhai Chadhte Bhakt Gaane Lage,
Darshan Ke Ye Sab Deewane Lage,
Chunari Mangwai Hai Jaipur Se,
Isko Chadhayenge Maan Ke Dar Pe,
Paavan Avsar Lag Gaya Hatho Mein,
Nachenge Hum Sab Jagrate Mein ॥

Mandir Mein Ghuske to Dil Ye Kahe,
Sar Mera Maan Ke Charanon Mein Rahe,
Aisi Mamta to Na Pai Kahi,
Man Karta ‘Sunil’ Rah Jaoon Yahi,
Maiya Ke is Navrate Mein,
Nachenge Hum Sab Jagrate Mein ॥

Maiya Bulale Navrate Mein,
Nachenge Hum Sab Jagrate Mein,
Maan Ki Murat Bas Gai Aankho Mein,
Nachenge Hum Sab Jagrate Mein ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
मैया बुलाले नवराते में, नाचेंगे हम सब जगराते में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैया बुलाले नवराते में, नाचेंगे हम सब जगराते में, माँ की मूरत बस गई आँखो में, नाचेंगे हम सब जगराते में ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Saniwar Ko Kasht Kate Mangal Ho Mangalwar

Aa Jao Aur Kirapa Pa Lo, Haphte Mein Do Baar, Mere Bajarangi Ke Dwar, Mere Bajarangi Ke Dwar,
Shanivar Ko Kasht Kate, Mangal Ho Mangalavar, Mere Bajarangi Ke Dwar, Mere Bajarangi Ke Dwar ॥

Jao Mere Hanuman Booti Le Aao

Jao Mere Hanuman Booti Le Aao, Lakhan Ke Rakho Pran Booti Le Aao ॥