Meri Akhion Ke Samne Hi Rehna Maa Jagdambe (मेरी अखियों के सामने ही रहना, माँ जगदम्बे: भजन)


Navdurga, Durga Pooja, Navaratri, Navaratre, Navaratri, Mata Ki Chauki, Devi Jagran, Jagrata, Shukravar Durga Tatha Ashtami Ke Shubh Avsar Par Gaye Jane Vala Prasiddh Va Lokapriya Bhajan ।
Meri Akhiyon Ke Samne Hi Rehna,
Maa Sheron Wali Jagdambe ।
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Hum to Chakar Maiya Tere Darbaar Ke,
Bhukhe Hain Ham to Maiya Bas Tere Pyar Ke ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Vinti Hamari Bhi Ab Karo Manzur Maa,
Charnon Se Hamako Kabhi Karna Na Door Maa ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Mujhe Jaan Ke Apna Balak Sab Bhool Tu Meri Bhula Dena,
Sheron Wali Jagdambe Aanchal Mein Mujhe Chhipa Lena ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Tum Ho Shiv Ji Ki Shakti Maiya Sheron Wali,
Tum Ho Durga Ho Ambe Maiya Tum Ho Kali ॥
Ban Ke Amrit Ki Dhar Sada Bahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Tere Balak Ko Kabhi Maa Sabar Aae,
Jahan Dekhun Maa Too Hi Too Nazar Aaye ॥
Mujhe Isake Seeve Kuchh Na Kahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

Dedo Sharma Ko Bhakti Ka Daan Maiya Ji,
Lakkha Gata Rahe Tera Gunagan Maiya Ji ॥
Hai Bhajan Tera Bhakto Ka Gahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥

Meri Akhiyon Ke Samne Hi Rahana,
Maa Sheron Wali Jagdambe ।
॥ Meri Akhiyon Ke Samne… ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
Navratri 2025 Dates
Date Tithi Navratri Devi Name Color
22 September Partipada Ghatasthapana, Mata Shailputri Puja, Agrasen Jayanti White
23 September Dwitiya Mata Brahmacharini Puja Red
24 September Tritiya Mata Chandraghanta Puja, Sindoor Tritiya Royal Blue
25 September Tritiya - Yellow
26 September Chaturthi Mata Kushmanda Puja, Lalita Panchami Green
27 September Panchami Mata Skanda Mata Puja | Durga Puja (Bilva Nimantran) Grey
28 September Sashti Mata Katyayani Puja | Durga Puja (Kalparambha, Akal Bodhon) Orange
29 September Saptami Mata Kalaratri Puja, Saraswati Awahan | Durga Puja (Navpatrika Puja, Kalabou Puja) Peacock Green
30 September Ashtami Mata Maha Gauri Puja, Saraswati Puja | Durga Puja (Durga Ashtami, Kumari Puja, Sandhi Puja) Pink
1 October Navami Mata Siddhidatri Puja | Durga Puja (Maha Navami, Durga Balidan, Navami Homa) -
2 October Dashami Vijayadashami, Navratri Vrat Ends | Durga Puja (Durga Visarjan, Sindoor Utsav) -
मेरी अखियों के सामने ही रहना, माँ जगदम्बे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरी अखियों के सामने ही रहना, माँ शेरों वाली जगदम्बे।
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanGulsan Kumar Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chhath Pooja Geet

Bhakti Bharat brings to you the folk songs and bhajans sung during this holy festival, including the lyrics and videos of the songs.

Jan Jan Ke Palan Hari Ho

Jan-Jan Ke Paalan Haari Ho Rato Radhe Govinda, Radhe Govinda Bhajo Radhe Govinda

Ghuma De Morchadi

Hira Motya Jadi Jadi, Sankat Kate Khadi Khadi, Mere Sar Pe Baba Shyam, Ghuma De Morchadi

Mere Shyam Dhani Ki Morchadi

Mere Shyam Dhani Ki Morachhadi, Pal Bhar Mein Jadu Kar Jaegi, Gar Phir Gai Tere Sar Pe To,
Gar Phir Gai Tere Sar Pe To, Har Bigadi Baat Sawar Jaegi, Mere Shyam Dhani Ki Morachhadi, Pal Bhar Mein Jadu Kar Jaegi ॥

Sanwali Surat Pe Mohan Dil Diwana Ho Gaya

Saanwali Surat Pe Mohan, Dil Deewana Ho Gaya