Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera (मुरख बन्दे, क्या है रे जग मे तेरा - भजन)


O Murakh Bande,
Kya Hai Re Jag Me Tera,
Ye to Sab Jhootha Sapna Hai,
Ye to Sab Jhootha Sapna Hai,
Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande,
Kya Hai Re Jag Me Tera ॥
Kitni Hi Maya Jod Le,
Kitne Hi Mahal Banale,
Tere Marne Ke Baad Sun,
Tere Ye Ghar Wale,
Do Gaj Kafan Udakar Tujhse,
Do Gaj Kafan Udakar Tujhse,
Chhin Lege Ye Sab Tera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Koti Bangla Kaar Dekh Tu,
Kyu Itna Itrata Hai,
Patni or Bachcho Ke Bich Tu,
Fula Nahi Samata Hai,
Chaar Dino Ki Chandni Ye,
Chaar Dino Ki Chandni Ye,
Fir Aayega Andhera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Murakh Apni Mukti Ka Tu,
Jaldi Kar Upaay,
Kis Din Kis Ghadi Teri Ye,
Baah Pakad Le Jaaye,
Tere Sath Me Ghum Raha Hai,
Tere Sath Me Ghum Raha Hai,
Bankar Kaal Lutera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Paap Kamaya Tune Bahut Ab,
Thoda Punya Kamale,
Kuch to Samay Hai Ab Manav Tu,
Ram Naam Gun Gale,
Ram Naam Se Mit Jayega,
Ram Naam Se Mit Jayega,
Janam Maran Ka Fera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

O Murakh Bande,
Kya Hai Re Jag Me Tera,
Ye to Sab Jhootha Sapna Hai,
Ye to Sab Jhootha Sapna Hai,
Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande,
Kya Hai Re Jag Me Tera ॥
मुरख बन्दे, क्या है रे जग मे तेरा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ मुरख बन्दे, क्या है रे जग मे तेरा, ये तो सब झूठा सपना है, ये तो सब झूठा सपना है, क्या तेरा क्या मेरा, मुरख बन्दे, क्या है रे जग मे तेरा ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥