Parishram Kare Koi Kitana Bhi Lekin (परिश्रम करे कोई कितना भी लेकिन - भजन)


Parishram Kare Koi Kitna Bhi Lekin,
Kripa Ke Bina Kaam Chalta Nahin ....
Nirasha Nisha Nasht Hoti Na Tab Tak,
Daya Bhanu Jab Tak Nikalta Nahin...
Damit Vasanaye Amit Roop Le Jab,
Antah Karan Mein Upadrav Machaati,
Tab Fir Kripasindhu Shri Ram Ji Ke
Anugrah Bina Kaam Chalta Nahin.....
Mragvari Jaise Asat Is Jagat Se
Purusharth Ke Bal Pe Bachna Hai Mushkil
Shri Hari Ke Sevak Jo Chhal Chhod Bante
Unhen Fir Ye Sansar Chhalta Nahin Hai.....
Sadguru Shubhashish Pane Se Pahale
Jalta Nahin Gyan Deepak Bhi Ghat Mein
Bahati Na Tab Tak Samarpan Ki Sarita
Ahankar Jab Tak Ki Galta Nahin.....
“rajeshwaranand” Anand Apna
Paakar Hi Lagta Hai Jag Jaal Sapna
Tan Badle Kitne Bhi Par Prabhu Bhajan Bin
Kabhi Jan Ka Jeevan Badalta Nahin....
परिश्रम करे कोई कितना भी लेकिन - भजन - हिन्दी में पढ़ें
परिश्रम करे कोई कितना भी लेकिन, कृपा के बिना काम चलता नहीं है । निराशा निशा नष्ट होती ना तब तक,
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanRajeshwaranand Ji BhajanRajan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aaise Mere Maan Main Virajiye

Aise Mere Man Mein Virajiye Ki Mai Bhool Jaoon Kaam Dhaam Gaoon Bas Tera Naam |

Aao Ji Aao Maiya Aaj

Aao Ji Aao Maiya, Aaj Mhare Aangne, Bhagat Bulave Thane Aaya Sarsi, Bhagat Bulave Thane Aaya Sarsi, Aao Ji Aao Maiya, Aaj Mhare Aangne ॥

Kabhi Durga Banke Kabhi Kali Banke

Kabhi Durga Banke, Kabhi Kali Banke, Chali Aana, Maiya Ji Chali Aana ॥

Shri Ram Teri Mahima Se

Shri Ram Teri Mahima Se, Kaam Ho Gaya Hai, Mandir Banega Rasta, Aasan Ho Gaya, Shri Ram Teri Mahima Se, Kaam Ho Gaya Hai ॥

Ram Naam Japte Hai Masti Mein Rehte Hain

Ram Naam Japate Hai, Masti Main Rahate Hai, Dev Hai Ye Sabse Nirale, Ise Kahate Hai Bajarangbali, O Bala Ise Kahate Hai Bajarangbala ॥