Ram Nam Ke Heere Moti (राम नाम के हीरे मोती - भजन)


Ram Nam Ke Heere Moti,
Main Bikhraun Gali Gali ।
Krishn Nam Ke Heere Moti,
Main Bikhraun Gali Gali ।
Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।
Le Lo Re Koi Shyam Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।

Maya Ke Deewanon Sun Lo,
Ek Din Aisa Ayega ।
Dhan Daulat Aur Maal Khajana,
Yahi Pada Rah Jayega ।
Sundar Kaya Mitti Hogi,
Charcha Hogi Gali Gali ॥
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ।

Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।
Le Lo Re Koi Shyam Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।
॥ Ram Nam Ke Heere Moti… ॥

Kyon Karta Tu Mera Meri,
Yah to Tera Makan Nahin ।
Jhoothe Jan Mein Phansa Hua Hai,
Vah Sachcha Insan Nahin ।
Jag Ka Mela Do Din Ka Hai,
Ant Mein Hogi Chala Chali ॥

Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।
Le Lo Re Koi Shyam Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।
॥ Ram Nam Ke Heere Moti… ॥

Jin Jin Ne Yah Moti Lute,
Vah to Mala Maal Hue ।
Dhan Daulat Ke Bane Pujari,
Akhir Vah Kangal Huye ।
Chandi Sone Walo Sun Lo,
Baat Sunaun Khari Khari ॥
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ।

Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।
Le Lo Re Koi Shyam Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।
॥ Ram Nam Ke Heere Moti… ॥

Duniya Ko Tu Kab Tak Pagale,
Apni Kahalayega ।
Ishwar Ko Tu Bhool Gaya Hai,
Ant Samay Pachhtayega ।
Do Din Ka Yah Chaman Khila Hai,
Phir Murajhaye Kali Kali ॥
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ।

Ram Nam Ke Heere Moti,
Main Bikhraun Gali Gali ।
Krishn Nam Ke Heere Moti,
Main Bikhraun Gali Gali ।

Le Lo Re Koi Ram Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।
Le Lo Re Koi Shyam Ka Pyara,
Shor Machaun Gali Gali ।

Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ।
Bolo Ram Bolo Ram,
Bolo Ram Ram Ram ।
राम नाम के हीरे मोती - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम नाम के हीरे मोती, मैं बिखराऊँ गली गली । कृष्ण नाम के हीरे मोती, मैं बिखराऊँ गली गली ।
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanShri Vishnu BhajanShri Hari BhajanShri Krishna BhajanHare Krishna Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Phoolon Se Angana Sajaungi

Phoolon Se Angna Sajaungi, Jab Maiya Mere Ghar Aaengi । Chandan Chauki Bichhau

Bhawani Maiya Sharda Bhajo Re

Bhawani Maiya Sharda Bhajo Re, Sharda Bhajo Re, Bhar Jehe Sakal Bhandar Re, Bhawani Maiya Ho ॥

Suno Karuna Bhari Ye Pukar

Suno Karuna Bhari Ye Pukar, Dwar Tere Hum Aaye, Tore Angna Lagi Hai Kataar, Dwar Tere Hain Aaye ॥

Mere Ghar Maiya Aai Hai

Mere Ghar Maiya Aai Hai , Soi Takadir Jagai Hai Soi Takadir Jagai Hai, Mere Ghar Maiya Aai Hai , Maiya Ne Bigdi Banai Hai॥