Riddhi Siddhi Ka Dev Nirala (रिद्धि सिद्धि का देव निराला: भजन)


Riddhi Siddhi Ka Dev Nirala,
Shiva Parvati Ka Laala,
Sada Hi Kalyan Karta,
Mera Dev Hai Mangalkari,
Sabhi Ke Bhandare Bharta,
Sabhi Ke Bhandare Bharta ॥
Shiv Ka Dulara Hai,
Ye Gaura Mahatari Hai,
Gaj Sa Badan Tera,
Mush Ki Savari Hai,
Chade Paan Phool Phal Mewa,
Sare Santa Kare Teri Sewa,
Sabhi Ka Tu Hi Maan Rakhta,
Mera Dev Hai Mangalkari,
Sabhi Ke Bhandare Bharta,
Sabhi Ke Bhandare Bharta ॥

Dund Dundala Hai,
Sund Sundala Hai,
Bhakto Ka Mangal,
Karne Bala Hai,
Tujhe Maan Se Jo Bhi Bulata,
Pal Bhar Main Dauda Aata,
Saphal Sare Kaam Karta,
Mera Dev Hai Mangalkari,
Sabhi Ke Bhandare Bharta,
Sabhi Ke Bhandare Bharta ॥

‘Harsh’ Kahe Re Pahale Isako Manale,
Charanon Mein Isake Tu Shish Jhuka Le,
Sare Bighna Hatade Tere,
Sare Kaam Bana De Tere,
Dino Ke Dukh Dur Karta,
Mera Dev Hai Mangalkari,
Sabhi Ke Bhandare Bharta,
Sabhi Ke Bhandare Bharta ॥

Riddhi Siddhi Ka Dev Nirala,
Shiva Parvati Ka Laala,
Sada Hi Kalyan Karta,
Mera Dev Hai Mangalkari,
Sabhi Ke Bhandare Bharta,
Sabhi Ke Bhandare Bharta ॥
रिद्धि सिद्धि का देव निराला: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रिद्धि सिद्धि का देव निराला, शिव पार्वती का लाला, सदा ही कल्याण करता, मेरा देव है मंगलकारी, सभी के भंडार भरता, सभी के भंडार भरता ॥
Bhajan Sidhi Vinayak BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanGanesh Visarjan BhajanGanesh Puja Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Shri Hanuman-Balaji Bhajan

Famous Sri Hanuman-Balaji bhajans recitation in Sundarakand, Hanuman Jayanti, Tuesday Vrat, Saturday, Budhawa Mangal..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re