Shiv Shankar Ko Jisne Pooja (शिव शंकर को जिसने पूजा उसका ही उद्धार हुआ - भजन)


Shiv Shankar Ko Jisne Pooja,
Uska Hi Uddhar Hua ।
Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein,
Uska Beda Paar Hua ॥
Bhole Shankar Ki Pooja Karo,
Dhyan Charanon Mein Iske Dharo ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu,
Har Har Mahadev Shiv Shambhu ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu...

Damru Wala Hai Jag Mein Dayalu Bada
Deen Dukhiyon Ka Deta Jagat Ka Pita ॥
Sab Pe Karta Hai Ye Bhola Shankar Daya
Sabko Deta Hai Ye Aasra ॥

In Paawan Charnon Mein Arpan,
Aakar Jo Ik Baar Hua,
Antkaal Ko Bhavasaagar Mein,
Uska Beda Paar Hua,
Har Har Mahadev Shiv Shambhu,
Har Har Mahadev Shiv Shambhu ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu...

Naam Uncha Hai Sabse Mahadev Ka,
Vandana Iski Karte Hai Sab Devta ।
Iski Pooja Se Vardaan Paaten Hain Sab,
Shakti Ka Daan Paten Hain Sab ।

Nath Asur Prani Sab Par Hi,
Bhole Ka Upakar Hua ।
Ant Kaal Ko Bhavsagar Mein,
Uska Beda Paar Hua ॥

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja,
Uska Hi Uddhar Hua ।
Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein,
Uska Beda Paar Hua ॥

Bhole Shankar Ki Pooja Karo,
Dhyan Charanon Mein Iske Dharo ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu,
Har Har Mahadev Shiv Shambhu ।
Har Har Mahadev Shiv Shambhu...
शिव शंकर को जिसने पूजा उसका ही उद्धार हुआ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शिव शंकर को जिसने पूजा उसका ही उद्धार हुआ। अंत काल को भवसागर में उसका बेडा पार हुआ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanHariharan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai

Kisi Ke Kam Jo Aaye, Use Insan Kahte Hain । Paraya Dard Apnaye, Use Insan Kahte Hain ॥

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai

Anmol Tera Jeevan, Yun Hi Ganva Raha Hai, Kis Aur Teri Manjil...

Tulsa Kar Aai Chaaron Dham

Tulsa Kar Aai Charon Dham, Jane Kahan Legi Vishram । Pahala Vishram Vaane Haridwar Mein Payo..

Radha Ka Chitchor Kanhaiya

Radha Ka Chitchor Kanhaiya, Daooji Ka Natkhat Bhaiya, Kunj Galin Ka Raas Rachaiya, Bha Gaya Hamen Bha Gaya...

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein, Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon, Vaani Mein Tanik Mithas Nahin, Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥