Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan (सूरज की किरण छूने को चरण: भजन)


Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan,
Aati Hai Gagan Se Rojana,
Chanda Bhi Sitaron Ko Moti,
Deta Hai Najar Se Najrana,
Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan,
Aati Hai Gagan Se Rojana ॥
Ye Patit Pawani Ganga Jo,
Shankar Ki Jata Main Rahti Hai,
Wo Hi Jata Shankar Maiya Ko,
Komal Charnon Main Bahati Hai,
Phir Mauj Mein Aakar Maujo Ka,
Laharon Se Lipat Kar Laharana,
Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan,
Aati Hai Gagan Se Rojana ॥

Kanchan Ka Badan Kanchan Ka Mukut,
Kanchan Ka Hai Chuda Baaho Mein,
Bijali Ki Chamak Hai Jhanjhar Mein,
Usha Ki Lali Hai Pavon Mein,
Din Raat Ka Chakkar Chakr Mein,
Phoolo Ka Khilana Musakana,
Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan,
Aati Hai Gagan Se Rojana ॥

Mamata Ka Sarovar Hrday Mein,
Aur Maan Mein Pyaar Ki Gagar Hai,
Muththi Mein Hai Shakti Aur Mukti,
Naino Mein Daya Ka Sagar Hai,
Palake Hai Gulaab Ki Pankhudiya,
Vashatar Bhushan Hai Shahana,
Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan,
Aati Hai Gagan Se Rojana ॥

Sone Aur Chaandi Ke Jarre,
Sundar Dharati Pe Damakate Hai,
Neelam Ke Neele Chamakile,
Patthar Parvat Pe Chamakate Hai,
Chale Josh Mein Aakar Mast Pavan,
Mausam Hai Suhaana Mastana,
Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan,
Aati Hai Gagan Se Rojana ॥

Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan,
Aati Hai Gagan Se Rojana,
Chanda Bhi Sitaron Ko Moti,
Deta Hai Najar Se Najrana,
Suraj Ki Kiran Chune Ko Charan,
Aati Hai Gagan Se Rojana ॥
सूरज की किरण छूने को चरण: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सूरज की किरण छूने को चरण, आती है गगन से रोज़ाना, चँदा भी सितारों के मोती, देता है नज़र से नज़राना, सूरज की किरण छुने को चरण, आती है गगन से रोज़ाना ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Dadi Itni Kirpa Kariye

Dadi Itni Kirpa Kariye, Dar Te Aavta Rava, Main to Thare Darbar Se Mangta Raha ॥

Maa Ho To Aisi Ho Aisi Ho

Haan Maan Ho to Aisi Ho Aisi Ho, Aisi Ho Kali Maiyyan Tere Jaisi Ho Haan Maan Ho to Aisi Ho Aisi Ho, Are Aisi Ho Kali Maiyyan Tere Jaisi Ho...

Ambe Kaha Jaye Jagdambe Kaha Jaye

Ambe Kaha Jaye Jagdambe Kaha Jaye, Bol Meri Maiya Tujhe Kya Kaha Jaye ॥

Nau Nau Roop Maiya Ke To Bade Pyare Lage

Nau Nau Roop Maiya Ke To, Bade Pyare Lage, Bade Pyare lage, Sabse Paye Maa Ke, Bhawano Ke Najare Lage, Sabse Payre Maa Ke, Bhawano Ke Najare Lage ॥