Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hey Gananayak Jai Sukhdayak (हे गणनायक जय सुखदायक - भजन)


Hey Gananayak Jai Sukhdayak
Hey Gananayak Jai Sukhdayak,
Jai Ganapati Ganaraj Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥
Shankar Suvan Bhavane Ke Nandan,
Gauri Putra Ganesh, Gauri Putra Ganesh,
Jo Koi Manav Tujhako Dhyave,
Mit Jaye Sabh Klesh,
Vighnavinayak Kashtanivarak,
Hai Ganapati Ganaraj Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥

Lambodar Gajavadanavinayak,
Maan Mein Karo Basera, Maan Mein Karo Basera,
Darshan Pakar Tumhara Daata,
Ho Jaye Dur Andhera,
Asi Shakti De Do Mujhko,
Japte Rahe Tera Naam Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥

Gauri Ke Putra Tum Kahao,
Mushak Vahan Sawari, Mushak Vahan Sawari,
Bhari Sabha Mein Aaj Tu Bhagawan,
Rakho Laaj Hamari,
Bhakta Ke Tum Ho Rakhvare,
Pure Karo Sab Kaam Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥

Hey Gananayak Jai Sukhdayak,
Jai Ganapati Ganaraj Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥

हे गणनायक जय सुखदायक - भजन हिन्दी में पढ़ें

हे गणनायक जय सुखदायक, जय गणपति गणराज रे, गणपति नमः गणपति नमः, गणपति नमः गणपति नमः ॥
Read Also

Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Main Too Aai Vrindavan Dham Kishori Tere Charanan Main

Main to Aai Vrindavan Dham Kishori Tere Charnan Mein । Kishori Tere Charanan Mein,..

Karke Isharo Bulaye Gayi Re

Bhakti Bharat is bringing you a devotional song cherished by Indresh-ji; here are the lyrics.. karke isharo bulaye gai re, barsane ki chhori radha gori gori

Naam Meri Radha Rani Ka Jis Jis NeGaya Hai

Naam Meri Radha Rani Ka Jis Jis Ne Gaya Hai, Banke Bihari Ne Use Apana Banaya Hai, Jai Radhe Jai Radhe Jai Shree Radhe Bolo Jai Radhe ॥

Basale Maan Mandir Me Ram

Basale Man Mandir Mein Ram, Banenge Bigde Tere Kaam, Basalen Man Mandir Mein Ram, Basalen Man Mandir Mein Ram ॥

O Ram Ji Tere Bhajan Ne Bada Sukh Dina

O Ramji Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina, Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina, Ye Duniya Diwani, Do Din Ki Kahani, Pal Do Pal Ka Hai Jina, Bada Sukh Dina, Tere Bhajan Ne, Bada Sukh Dina ॥

Meri Fariyad Sun Bhole

Meri Fariyad Sun Bhole, Tere Dar Aaya dewana, Maan Ki Murade puri Kar, Siwa Tere Na Koi Thikana, Meri Fariyad Sun Bhole, Tere Dar Aaya dewana ॥

Sabke Dil Mein, Shyam Ki Tasveer Hai

Sabke Dil Mein, Shyam Ki Tasveer Hai, Koi Dhanna Seth, Koi Phakir Hai, Dar Pe Aata Wahin, Jiski Takdir Hai..

Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP