पितृ पक्ष - Pitru Paksha
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Maa Anjani Ke Lal Kalyug Kar Diyo Nihaal (माँ अंजनी के लाल, कलयुग कर दियो निहाल: भजन)


Maa Anjani Ke Lal Kalyug Kar Diyo Nihaal
Maa Anjani Ke Laal,
Kalayug Kar Diyo Nihaal,
O Pavanaputr Hanuman,
Tum Shreeram Ke Sevak Ho,
Shreeram Ke Sevak Ho,
Shiv Shankar Ke Avataar,
Mere Balaji Sarakaar,
O Pavanaputr Hanuman,
Tum Shreeram Ke Sevak Ho ॥
Tu Maa Anjani Ka Jaya,
Shiv Avatari Kahalaya,
Pakar Ke Adbhut Shakti,
Sansar Mein Maan Badhaya,
Teri Surat Kuch Kapi Si,
Teri Surat Kuch Kapi Si,
Kuch Manav Si Suhaye,
Maan Main Ram Samaye,
Aur Tan Sindur Ramaye,
Teri Chati Bajra Saman,
Tum Shreeram Ke Sevak Ho,
Shreeram Ke Sevak Ho ॥

Jab Haran Hua Sita ka,
Kuch Pata Nahi Lag Paya,
Tune Jake Lanka Nagari,
Maiya Ka Pata Lagaya,
Tune Rakshas Sab Pichade,
Tune Rakshas Sab Pichade,
Garaje Aur Phir Dahade,
Gin Gin Kar Diye Giraye,
Sankat Kate Pal Bhar Main,
Jakar Ravan Ke Ghar Main,
Sab Lanka Diye Jalaye,
Tum Shreeram Ke Sevak Ho,
Shreeram Ke Sevak Ho ॥

Sab Rog Dosh Mit Jave,
Jo Hanuman Ko Dhyave,
Chahe Kesa Bhi Ho Sankat,
Shree Hanumat Dur Bhagaye,
Jhutha Hai Ye Jag Sara,
Jhutha Hai Ye Jag Sara,
Matlav Ka Bhae Chara,
Ye Moh Maya Janjal,
Tu Rambhakt Ko Dhyale,
Sang Apani Pret Lagale,
Sankatmochan Kahalay,
Tum Shreeram Ke Sevak Ho,
Shreeram Ke Sevak Ho ॥

Maa Anjani Ke Laal,
Kalayug Kar Diyo Nihaal,
O Pavanaputr Hanuman,
Tum Shreeram Ke Sevak Ho,
Shreeram Ke Sevak Ho,
Shiv Shankar Ke Avataar,
Mere Balaji Sarakaar,
O Pavanaputr Hanuman,
Tum Shreeram Ke Sevak Ho ॥

माँ अंजनी के लाल, कलयुग कर दियो निहाल: भजन हिन्दी में पढ़ें

माँ अंजनी के लाल, कलयुग कर दियो निहाल, ओ पवनपुत्र हनुमान, तुम श्रीराम के सेवक हो, श्री राम के सेवक हो, शिव शंकर के अवतार, मेरे बालाजी सरकार, ओ पवनपुत्र हनुमान, तुम श्रीराम के सेवक हो ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥

Bhawani Shanbhu Ki Piyari

Shambhu Ki Piyari, Giriraj Ki Dulari, Girijag Gabag Gabag Gabag Garud Gaur Wali..

Beta Bulaye Jhat Daudi Chali Aaye Maa

Main Nahi Janu Pooja Teri, Par Tu Na Karana Maiya Deri, Tera Lakhkha Tujhe Puk...

Navratri Specials 2026 - Navratri Specials 2026
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP