Marna Hai to Ek Baar Maro,
Phir Chaurasi Mein Padna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥
Karke Bhajan Man Nirmal Karlo,
Dhyan Prabhu Ka Har Pal Karlo,
Bhitar Ke Jab Mel Na Dhoye,
Bhitar Ke Jab Mel Na Dhoye,
Bahar Roop Sanvrna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥
Bhala Bura Ka Gyan Rahega,
Parmeshwar Phir Sath Rahega,
Jab Raghunath Ka Hath Ho Sar Pe,
Jab Raghunath Ka Hath Ho Sar Pe,
Phir Hai Kisi Se Darna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥
Katu Vachan Bhi Sahna Padega,
Raah Kathin Hai Chalna Padega,
Shyam Prem Mein Pagal Hua to,
Shyam Prem Mein Pagal Hua to,
Phir Papon Se Darna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥
Nek Karm Bin Janam Bitana,
Uska Bhi Jeena Hai Kya Jeena,
Bhakti Ke Moti Chun Na Sake Phani,
Bhakti Ke Moti Chun Na Sake Phani,
Khak Se Jholi Bharna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥
Marna Hai to Ek Baar Maro,
Phir Chaurasi Mein Padna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥