Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Teri Karuna Se Sabki Hai Wipda Tali (तेरी करुणा से सबकी, है विपदा टली - भजन)


Teri Karuna Se Sabki Hai Wipda Tali
Teri Karuna Se Sabaki,
Hai Vipada Tali,
Jay Ho Bajarangabali,
Jay Ho Bajarangabali,
Tere Chintan Se Har Dukh,
Ki Raina Dhali,
Jay Ho Bajarangabali,
Jay Ho Bajarangabali ॥
Teri Shakti Ki Jyoti,
Har Ek Maan Mein Hai,
Tere Naam Ki Sugandh,
To Kan Kan Mein Hai,
Jinke Sanson Mein Teri,
Hi Maala Phire,
Unki Naiya Kabhi Na,
Bhanvar Mein Ghire,
Tere Sammukh Balaon Ki,
Ik Na Chali,
Jay Ho Bajarangabali,
Jay Ho Bajarangabali ॥

Ram Naam Ki Shakti,
Tere Paas Hai,
Bhakton Ka Bahut Tujh Pe,
Vishvas Hai,
Teri Pooja Se Andhakar,
Ghar Ka Mite,
Har Dukh Rog Bhay Ki,
Badariya Chhate,
Tu Hai Danav Dalan,
Har Bali Se Bali,
Jay Ho Bajarangabali,
Jay Ho Bajarangabali ॥

Tera Sumiran Shani Se,
Bachata Hamen,
Paath Tera Hi Har Sukh,
Dilaata Hamen,
Tere Nirdosh Charanon Ki,
Dhul Hi Mile,
To Hi Patajhad Mein Kaliyaan,
Khushi Ki Khile,
Pag Dhuli To Chandan Se,
Bhi Hai Bhali,
Jay Ho Bajarangabali,
Jay Ho Bajarangabali ॥

Teri Karuna Se Sabaki,
Hai Vipada Tali,
Jay Ho Bajarangabali,
Jay Ho Bajarangabali,
Tere Chintan Se Har Dukh,
Ki Raina Dhali,
Jay Ho Bajarangabali,
Jay Ho Bajarangabali ॥

तेरी करुणा से सबकी, है विपदा टली - भजन हिन्दी में पढ़ें

तेरी करुणा से सबकी, है विपदा टली जय हो बजरंगबली, जय हो बजरंगबली, तेरे चिंतन से हर दुख, की रैना ढली, जय हो बजरंगबली, जय हो बजरंगबली ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhakton Ke Ghar Kabhi Aao Ma

Aao Maan Aao Maan Aao Maan, Bhakto Ke Ghar Kabhi Aaon Maan, Parivar Tumhara Hai, Hamen Tera Hi Sahara Hai, Aaon Maan Aaon Maan Aaon Maan, Bhakto Ke Ghar Kabhi Aao Maan ॥

Meri Maiya Tere Darbar Ye Diwane Aaye Hai

Meri Maiya Tere Darbar Ye, Deewane Aaye Hai, Bhakti Mein Teri Doob Ke Ye, Bhakti Mein Teri Doob Ke Ye,
Mastane Aaye Hai, Meri Maiya Tere Darbar Ye, Deewane Aaye Hai ॥

Maa Ka Naam Jape Ja Har Pal

Maan Ka Naam Jape Ja Har Pal, Laage Na Koi Mol Re, Jai Mata Di Bol Re Tu, Jai Mata Di Bol Re ॥

Bhagat Pukare Aaj Mawadi

Bhagat Pukare Aaj Mawadi, Aake Laaj Bacha Ja Aye, Duhkh Pave Hai Tabar Thara, Aake Kasht Mita Ja Ai, Bhakt Pukare Aaj Mawadi, Aake Laaj Bacha Ja Aye ॥

Kitna Sona Hai Darbar Bhawani Tera

Kitna Sona Hai Darbar, Bhawani Tera Ye Singar, Kitan Sona Hai, Tera Ye Darwar Bhawani, Tera Ye Singar, Kitna Sona Hai, O Maiya Tumko, Kisne Sajaya Hai, Tera Sundar Se Sundar, Darwar Banaya Hai ॥

Teri Mahima Sabhi Ne Bakhani

Teri Mahima Sabhi Ne Bakhani, Daya Hampe Karo Ambe Rani ॥

Jaago Pahada Waali Tera Jagan Vela Hoya

Jaago Pahadawali Tera, Jagan Vela Hoya, Jaago Gaura Mai Tera, Jagan Vela Hoya ॥

Ram Bhajan - Ram Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP