Gurudev Daya Karke Mujhko Apna Lena (गुरुदेव दया करके मुझको अपना लेना - भजन)


Main Sharan Pada Teri Charanon Mein Jagah Dena,
Gurudev Daya Karke Mujhko Apna Lena ।
Karunanidhi Naam Tera,
Karun Dikhlao Tum,
Soye Hue Bhagyo Ko,
He Nath Jagao Tum ।
Meri Nav Bhawar Dole,
Ise Paar Laga Dena,
Gurudev Daya Karke,
Mujhko Apna Lena ॥

Jay Gurudeva, Jay Gurudeva .
Jay Gurudeva, Jay Gurudeva ॥

Tum Sukh Ke Sagar Ho,
Nirdhan Ke Sahare Ho,
Is Tan Mein Samaye Ho,
Mujhe Pranon Se Pyare Ho ।
Nitt Mala Japun Teri,
Nahin Dil Se Bhula Dena,
Gurudev Daya Karke,
Mujhko Apna Lena ॥

Papi Hoon Ya Kapati Hoon,
Jaisa Bhi Hoon Tera Hoon,
Ghar Baar Chhod Kar,
Main Jeevan Se Khela Hoon ।
Duhkh Ka Maar Hoon Main,
Mera Dukhda Mita Dena,
Gurudev Daya Karke,
Mujhko Apna Lena ॥

Main Sab Ka Sevak Hoon,
Tere Charanon Ka Chera Hoon,
Nahin Nath Bhulana Mujhe,
Ise Jag Mein Akela Hoon ।
Tere Dar Ka Bhikhari Hoon,
Mere Dosh Mita Dena,
Gurudev Daya Karake,
Mujhako Apna Lena ॥

In Charnan Ki Paoon Seva,
Jay Gurudeva, Jay Gurudeva ।
गुरुदेव दया करके मुझको अपना लेना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैं शरण पड़ा तेरी चरणों में जगह देना, गुरुदेव दया करके मुझको अपना लेना।
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanSant Ravidas BhajanRavidas Jayanti Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ghar Mein Padharo Bhole Baba

Ghar Mein Padharo Bhole Baba, Mere Ghar Mein Padharo, Kastha Niwaro Bhole Baba, Mere Ghar Mein Padhare, Ghar Mein Padharo Bhole Baba, Mere Ghar Mein Padharo ॥

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Gaura Lalla Ko Manao To Jaane

Gaura Lalla Ko Manao to Jaane, Ghar Inko Bulao to Jaane...... ॥

Parvati Tera Bhola Jagat Me Sabse Nirala Hai

Parvati Tera Bhola, Jagat Mein Sabse Nirala Hai । Jo Mai Hoti Ganga Jaisi

Shambhu Mera Tu Hi Tu

Shambhu Ki Masti Mein Maan Ko Dubaya, Shambhu ki Maya Mein Dil Ko Lagaya, Shambhu Ki Chaya Mein Khud Ko Basaya, Shambhu Ko Apana Haath Thamaya, Shambhu Har Rag Mein Hai Tu hi Tu,
Har Kaan Mein Mein Tu Hi Tu, Jahan Bhi Dekhun Hardam Harpal Dikhata Bas Tu Hi Tu,
Shambhu Mera Tu Hi Tu Rag Rag mein Tu Hi Tu ॥