Holi Khel Rahe Banke Bihari Aaj Rang Baras Raha (होली खेल रहे बांकेबिहारी आज रंग बरस रहा: होली भजन)


Holi Khel Rahe Bankevihari Aaj Rang Barash Raha,
Aur Jhum Rahi Duniya Sari,
Aaj Rang Barash Raha ॥
Abeer Gulaal Ke Badal Chha Rahe Hai,
Horee Hai Horee Hai Chhor Macha Rahe,
Jholi Bhar Ke Gulaal Ki Mari,
Aaj Rang Barash Raha ॥

Dekh Dekh Sakhiyan Ke Maan Harsha Rahe,
Mere Banke Bihari Aaj Prem Barasa Rahe,
Unake Sang Mein Hain Radha Pyari,
Aaj Rang Barash Raha ॥

Aaj Nandalala Ne Dhoom Machai Hai,
Prem Bhari Holi Ki Jhalak Dikhayi Hai,
Rang Bhar Bhar Ke Mari Pichakari,
Aaj Rang Barash Raha ॥

Abir Gulaal Aur Thaso Ka Rang Hai,
Vrindavan Barasano Jhoom Rahyo Sang Hai,
Main Baar Baar Jaun Balihari ॥
होली खेल रहे बांकेबिहारी आज रंग बरस रहा: होली भजन - हिन्दी में पढ़ें
होली खेल रहे बांकेबिहारी आज रंग बरस रहा , और झूम रही दुनिया सारी, आज रंग बरस रहा॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanHoli BhajanPhalguna BhajanIskcon Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Chitrakoot Ke Ghat Ghat Par Shabri Dekhe Baat

Chitrakoot Ke Ghat-Ghat Par, Shabari Dekhe Baat, Ram Mere Aa Jao, Chitrakut Ke Ghat-Ghat Par...

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya, Nandlala Ghanshyam Re, Govardhan Girdhari Kanha, Tere Kitne Naam Re, Bolo Shyam Radhe Shyam...

Ek Nazar Bas Ek Nazar Hum Pe Bhi Mohan Vaar De

Ek Nazar Bas Ek Nazar, Hum Pe Mohan Vaar De, Zindagi Ki Dagmagati, Meri Naiya Taar De ॥

Kahiyo Darshan Dinhe Ho Bhilaniyo Ke Ram

Kahiyo Darshan Dinhe Ho, Bhilniyon Ke Ram ।

Phoolon Mein Saj Rahe Hai

Phoolon Mein Saj Rahe Hain, Shri Vrindavan Bihari, Aur Sath Saj Rahi Hai, Vrishbhanu Ki Dulari ॥