Jinhe Chahe Vo Haajari Lagana (जिन्हे चाहिए वो हाजरी लगाना: भजन)


Loot Raha Bhandar Hai,
Maiya Ji Ka Dwar Hai,
Mauka Bada Hi Suhana,
Jinhen Chahiye Vo Haajri Lagana,
Jinhe Chahiye Vo Haajri Lagana ॥
Milega Na is Jag Mein,
Darbaar Aisa,
Dar Se Laut Jaye Vo,
Bhakt Hai Kaisa,
Dar Pe Jo Bhi Aata Hai,
Har Murade Paata Hai,
Maiya Se Kya Sharmana,
Jinhe Chahiye Vo Haajri Lagana ॥

Maangna Na Bande,
Kabhi Bhi Kisi Se,
Lega Vo Sood,
Samet Tujhi Se,
Hath Gar Phailana Hai,
Mauka Suhana Hai,
Padta Na Mool Bhi Chukana,
Jinhe Chahiye Vo Haajri Lagana ॥

Maang Le Tu Jitna Bhi,
Bhookh Na Mit Payegi,
‘Sunil’ Teri Chahat,
Badhti Hi Jayegi,
Maangna Jo Achchha Hai,
Dar Ye Maan Ka Sachcha Hai,
Maan Ko Hi Dukhde Sunana,
Jinhe Chahiye Vo Haajri Lagana ॥

Loot Raha Bhandar Hai,
Maiya Ji Ka Dwar Hai,
Mauka Bada Hi Suhana,
Jinhen Chahiye Vo Haajri Lagana,
Jinhe Chahiye Vo Haajri Lagana ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
जिन्हे चाहिए वो हाजरी लगाना: भजन - हिन्दी में पढ़ें
लूट रहा भंडार है, मैया जी का द्वार है, मौका बड़ा ही सुहाना, जिन्हें चाहिए वो हाजरी लगाना, जिन्हे चाहिए वो हाजरी लगाना ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,