Jisko Nahi Hai Bodh Guru Gyan Kya Kare (जिसको नही है बोध, तो गुरु ज्ञान क्या करे - भजन)


।। Doha ।।
Argh Kapale Jhoolta, So Din Karle Yaad
Jathra Seti Raakhiya, Naahi Purush Kar Baad ।

।। To Guru Gyan Kya Kare ।।

Jisko Nahi Hai Bodh ,
To Guru Gyan Kya Kare ।
Nij Roop Ko Jana Nahin,
To Puran Kya Kare ।

Ghat Ghat Mein Brahmjyot Ka,
Prakash Ho Raha ।
Mita Na Dvaitbhav to,
Phir Dhyan Kya Kare ।
Jisko Nahi …

Rachna Prabhu Ki Dekh Ke,
Gyani Bade Bade ।
Pave Na Koi Paar to,
Nadan Kya Kare ।
Jisko Nahi …

Karke Daya Dayal Ne,
Manush Janm Diya ।
Banda Na Kare Bhajan to,
Bhagwan Kya Kare ।
Jisko Nahi ….

Sab Jeev Jantuon Mein ,
Jise Hai Nahin Daya ।
‘Brahmanand’ Vrat Nyem,
Punya Daan Kya Kare ।

Jisko Nahi Hai Bodh ,
To Guru Gyan Kya Kare ।
Nij Roop Ko Jana Nahin,
To Puran Kya Kare ।
जिसको नही है बोध, तो गुरु ज्ञान क्या करे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जिसको नही है बोध , तो गुरु ज्ञान क्या करे। निज रूप को जाना नहीं, तो पुराण क्या करे।
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanGuru Gyan BhajanSant Ravidas BhajanRavidas Jayanti Bhajan

Other Popular Jisko Nahi Hai Bodh Guru Gyan Kya Kare Video

Sunita Swami

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai

Kisi Ke Kam Jo Aaye, Use Insan Kahte Hain । Paraya Dard Apnaye, Use Insan Kahte Hain ॥

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai

Anmol Tera Jeevan, Yun Hi Ganva Raha Hai, Kis Aur Teri Manjil...

Tulsa Kar Aai Chaaron Dham

Tulsa Kar Aai Charon Dham, Jane Kahan Legi Vishram । Pahala Vishram Vaane Haridwar Mein Payo..

Radha Ka Chitchor Kanhaiya

Radha Ka Chitchor Kanhaiya, Daooji Ka Natkhat Bhaiya, Kunj Galin Ka Raas Rachaiya, Bha Gaya Hamen Bha Gaya...

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein, Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon, Vaani Mein Tanik Mithas Nahin, Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥