Jo Vidhi Karam Me Likha Vidhata (जो विधि कर्म में लिखे विधाता - भजन)


Jo Vidhi Karm Mein Likhe Vidhata,
Mitane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥
Waqt Pada Raja Harishchandra Pe,
Kashi Jo Bike Bhai,
Rohit Daas Ko Dasiyo Sarp Ne,
Roti Thi Uski Mai ॥
Usi Samay Rohit Ko Dekho,
Bachane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Jo Vidhi Karm Mein Likhe Vidhata,
Mitane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Waqt Pada Dekho Ramachandra Pe,
Van Ko Gae Donon Bhai,
Ram Gaye Aur Lakhan Gaye the,
Sath Gai Sita Mai ॥
Van Mein Haran Hua Sita Ka,
Bachane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Jo Vidhi Karm Mein Likhe Vidhata,
Mitane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Waqt Pada Andhi Andhon Pe,
Van Mein Sravan Maran Hua,
Sun Karke Sut Ka Marna Phir,
Un Donon Ka Maran Hua ॥
Usi Shrap Se Dashrath Mar Gaye,
Jalane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥

Jo Vidhi Karm Mein Likhe Vidhata,
Mitane Wala Koi Nahin,
Waqt Pade Par Gajbhar Kapda,
Dene Wala Koi Nahin ॥
जो विधि कर्म में लिखे विधाता - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जो विधि कर्म में लिखे विधाता, मिटाने वाला कोई नहीं, वक्त पड़े पर गजभर कपड़ा..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanSuresh Awasthi Bhajan

Other Popular Jo Vidhi Karam Me Likha Vidhata Video

Jo Vidhi Karam Me Likha Vidhata By Shruti Dubey

Jo Vidhi Karam Me Likha Vidhata By Anchal Tiwari

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mujhe Charno Se Lagale Mere Shyam Murliwale

Mujhe Charno Se Laga Le, Mere Shyam Murli Wale, Meri Saans Saans Mein Tera, Meri Saans Saans Mein Tera, Hai Naam Murli Wale..

Tara Hai Sara Zamana, Shyam Hamko Bhi Taro

Tara Hai Saara Jamaana, Shyaam Ham Ko Bhi Taro । Ham Ko Bhi Taro, Shyaam Ham Ko Bhi Taro ॥

Chatak Matak Chatkili Chaal Aur Ye Ghunghar Wala Baal

Chatak Matak Chatkili Chaal, Aur Ye Ghunghar Wala Baal, Tirchha Mor Mukat Sir Pe, Aur Ye Gal Baijanti Maal, Teri Sanwari Suratiya, Pe Dil Gai Haar, Teri Sanwari Suratiya, Pe Dil Gai Haar ॥

Radha Ke Man Mai Bas Gaye Kunj Bihari

Shyam Rang Mein Rang Gai Radha, Bhooli Sudh-budh Sari Re, Radha Ke Man Mein..

Tere Naam Se Mashoor Zindagani Ho Gayi

Lagan Jo Teri Laagi, Main Deewani Ho Gayi, Deewani Haan Deewani, Deewani Ho Gayi, Tere Naam Se Mashoor Zindagani Ho Gayi ॥