Karne Vandan Charno Me Bajrangi (करने वंदन चरणों में बजरंगी, दर पे हम तेरे रोज आएंगे - भजन)


Karne Vandan Charnon Mein Bajrangi,
Dar Pe Hum Tere Roj Ayenge,
Ho Dar Pe Tere Roj Ayenge,
Dar Pe Hum Tere Roj Ayenge ॥
Dwar Pe Teri Apni Vipda Sunayenge,
Dwar Pe Teri Apni Vipda Sunayenge,
Apne Hriday Ka Hum Haal Sunayenge,
Apne Hriday Ka Hum Haal Sunayenge,
Karne Poojan Charanon Mein Mahaveera,
Mandir Mein Tere Roj Ayenge,
Dar Pe Hum Tere Roj Ayenge ॥

Sankat Haari Teri Leela Apaar Hai,
Sankat Haari Teri Leela Apaar Hai,
Dil Mein Tumhare Apne Bhakto Ka Pyaar Hai,
Dil Mein Tumhare Apne Bhakto Ka Pyaar Hai,
Karke Archan Charanon Mein Marutinandan,
Bhakti Ke Geet Roj Gayenge,
Dar Pe Hum Tere Roj Ayenge ॥

Shraddha Suman Hum Tumko Chadhayenge,
Shraddha Suman Hum Tumko Chadhayenge,
Deepak Jalayenge Aarti Dikhayenge,
Deepak Jalayenge Aarti Dikhayenge,
Karne Poojan Charanon Mein Anjanilalla,
Hawan Mein Nit Preet Layenge,
Dar Pe Hum Tere Roj Ayenge ॥

Karne Vandan Charnon Mein Bajrangi,
Dar Pe Hum Tere Roj Ayenge,
Ho Dar Pe Tere Roj Ayenge,
Dar Pe Hum Tere Roj Ayenge ॥

हनुमान चालीसा | श्री हनुमान आरती | संकटमोचन अष्टक | बालाजी आरती | श्री राम स्तुति
करने वंदन चरणों में बजरंगी, दर पे हम तेरे रोज आएंगे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
करने वंदन चरणों में बजरंगी, दर पे हम तेरे रोज आएंगे ॥
Bhajan Hanuman BhajanBajrangbali BhajanBalaji BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanRam Navmi BhajanHanuman Jayanti BhajanRamyug BhajanRamyug BhajanRamyug Web Series BhajanAbhitaj Bachchan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne, Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai, Jo Ped Humne Lagaya Pahale...

Ram Ko Dekh Ke Janak Nandini

Ram Ko Dekh Kar Ke Janak Nandini, Bag Mein Vo Khadi Ki Khadee Rah Gayi...

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Maiya Odh Chunariyan Lal Ke Bethi Kar Solha Shingar

Maiya Odh Chunariya Laal, Ke Baithi Kar Solah Shringar, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage ॥

Sun Meri Maat Meri Baat

Sun Meri Maat Meri Baat, Chhani Koni Tere Se, Aankhdali Churake Maiya, Jaasi Kathe Mere Se ॥