Lanka Main Jaayeyo Hanuman Aise Kah Dena (लंका में जइयो हनुमान ऐसे कह देना : भजन)


Lanka Mein Jaiyo Hanuman, Aise Kah Dena
Tune Suni Siya Churai Hai,
Tohe Laaj Sharm Nahin Aai Hai,
Raja Se Bana Phakir, Aise Kah Dena... ॥
Lanka Mein Jaiyo Hanuman, Aise Kah Dena... ॥

Vo Ram Lakhan Do Bhai Hai,
Lanka Pe Karen Chadhai Hai,
Vahan Chalen Baan Pe Baan, Aise Kah Dena... ॥
Lanka Mein Jaiyo Hanuman, Aise Kah Dena... ॥

Tera Meghnath Sa Beta Hai,
Tera Kumbhkaran Sa Bhai Hai,
Vahan Chalen Teer Pe Teer, Aise Kah Dena... ॥
Lanka Mein Jaiyo Hanuman, Aise Kah Dena... ॥

Teri Soorpnakha Si Bahana Hai,
Tapsi Se Nain Ladaye Hai,
Lakshman Ne Kati Naak, Aise Kah Dena... .
Lanka Mein Jaiyo Hanuman, Aise Kah Dena... ॥

Tere Ek Sau Aath Rani Hai,
Mandodari Unmen Patrani Hai,
Tune Hathon Se Maut Bulai Hai,
Tero Jaiyo Satyanash, Aise Kah Dena... .
Lanka Mein Jaiyo Hanuman, Aise Kah Dena... ॥
लंका में जइयो हनुमान ऐसे कह देना : भजन - हिन्दी में पढ़ें
तूने सूनी सिया चुराई है, तोहे लाज शर्म नहीं आई है, राजा से बना फकीर, ऐसे कह देना... ॥
Bhajan Bajrangbali BhajanBalaji BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanHanuman BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Jayanti Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati

Maaniye Pahale Gajanan, Gajvadan Hey Ganapati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Tum Bhi Bolo Ganpati, Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Apna Hai Seth Ganpati Lala

Apna Hai Seth Ganpati Lala, Shiv Shankar Sut Dev Ganapati, Devo Mein Balakare, Sabase Pahale Tera Sumiran, Karati Duniya Sari, Devo Mein Dev Hai Niraala, Apna Hai Seth Ganpati Lala ॥

Gauri Ke Ladle

Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan, Karta Hai Sabse Pahale, Pooja Teri Jahan, Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan ॥

Padharo Mhare Angana Ji

Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Padharo Mhare Angna Ji, Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji ॥