Marne Wala Hai Bhagwan Bachane Wala Hai Bhagwan (मारने वाला है भगवान, बचाने वाला है भगवान - भजन)


Shraddha Rakho Jagat Ke Logo,
Apne Deenanath Mein ।
Laabh Haani Jeevan Aur Mrtyu,
Sab Kuchh Us Ke Hath Mein ॥
Marne Wala Hai Bhagwan,
Bachane Wala Hai Bhagwan ।
Baal Na Banka Hota Uska,
Jiska Rakshak Dayanidhan ॥

Tyag Do Re Bhai Phal Ki Aasha,
Swarth Bina Preet Jodo ।
Kal Kya Hoga Is Ki Chinta,
Jagat Pita Par Chhodo ।
Kya Honi Hai Kya Anhoni,
Sab Ka Usko Gyan ॥

Marne Wala Hai Bhagwan,
Bachane Wala Hai Bhagwan ।
Baal Na Banka Hota Uska,
Jiska Rakshak Dayanidhan ॥

Jal Thal Agan Aakash Pawan Par,
Keval Uski Satta ।
Prabhu Ichchha Bina Yahan Par,
Hil Na Sake Ek Patta .
Usi Ka Sauda Yahan Pe Hota,
Us Ki Shakti Mahan ॥

Marne Wala Hai Bhagwan,
Bachane Wala Hai Bhagwan ।
Baal Na Banka Hota Uska,
Jiska Rakshak Dayanidhan ॥
मारने वाला है भगवान, बचाने वाला है भगवान - भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्रद्धा रखो जगत के लोगो, अपने दीनानाथ में । लाभ हानि जीवन और मृत्यु..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism Bhajan

Other Popular Marne Wala Hai Bhagwan Bachane Wala Hai Bhagwan Video

By Jaya Kishori

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..