Mere Prabhuji Sangati Sharan Tihari (प्रभु जी तुम संगति सरन तिहारी - भजन)


Prabhu Ji Tum Sangati Saran Tihari ।
Jag-jeevan Ram Murari ॥
Gali-gali Ko Jal Bahi Aayo,
Sursari Jaay Samayo ।
Sangati Ke Partaap Mahatam,
Naam Gangodak Payo ॥
॥ Prabhu Ji Tum Sangati… ॥

Swati Boond Barse Phani Upar,
Soi Vish Hoi Jai ।
Ohi Boond Kai Moti Nipjai,
Sangati Ki Adhikai ॥
॥ Prabhu Ji Tum Sangati… ॥

Tum Chandan Ham Rend Bapure,
Nikat Tumhare Aasa ।
Sangati Ke Partaap Mahatam,
Aavai Baas Subasa ॥
॥ Prabhu Ji Tum Sangati… ॥

Jaati Bhi Ochhi, Karam Bhi Ochha,
Ochha Kasab Hamara ।
Neeche Se Prabhu Oonch Kiyo Hai,
Kahi Raidas Chamara ॥

Prabhu Ji Tum Sangati Saran Tihari ।
Jag-jeevan Ram Murari ॥
प्रभु जी तुम संगति सरन तिहारी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
प्रभु जी तुम संगति सरन तिहारी। जग-जीवन राम मुरारी॥ गली-गली को जल बहि आयो...
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanSant Ravidas Bhajan

Other Popular Mere Prabhuji Sangati Sharan Tihari Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥