Meri Maiya Tumhe Arpan Bhala Hum Kya Kare (मेरी मैया तुम्हे अर्पण, भला हम क्या करें: भजन)


Meri Maiya Tumhe Arpan,
Bhala Hum Kya Karen,
Tumhin Se Hai Meri Duniya Bhala,
Dam Kya Bharen,
Meri Maiya Tumhen Arpan,
Bhala Hum Kya Karen ॥
Nyochhavar Kar Doon Ye Daulat,
Magar Vo Di Tumhari Hai,
Luta Doon Jaan Apni Bhi,
Magar Woh Bhi Tumhari Hai,
Jamane Mein Jidhar Dekhoon,
Udhar Tu Hi Nazar Aaye,
Tumhi Batlao Aye Daati,
Ki Ab Hum Kya Karen,
Tumhin Se Hai Meri Duniya Bhala,
Dam Kya Bharen,
Meri Maiya Tumhen Arpan,
Bhala Hum Kya Karen ॥

Chadhaoon Phool Tumko to,
Ye Gulshan Bhi Tumhara Hai,
Khilaoon Maiva Mishri to,
Sakal Jag Hi Tumhara Hai,
Jameen Aakash Shasitare,
Sabhi Mein Vaas Tumhara Hai,
Samajh Kuchh Bhi Nahin Aata,
Ki Ab Kya Karen,
Tumhin Se Hai Meri Duniya Bhala,
Dam Kya Bharen,
Meri Maiya Tumhen Arpan,
Bhala Hum Kya Karen ॥

Karoon Main Seva Charanon Ki,
Yahi Ummid Laaya Hoon,
Bujha Do Pyas Nainon Ki,
Tere Darbar Aaya Hoon,
Bharo Jholi Meri Bhi Maan,
Yahi Phariyad Laya Hoon,
‘vijay Shiv’ Ki Kshama Kardo Khata,
Aur Kya Kahen,
Tumhin Se Hai Meri Duniya Bhala,
Dam Kya Bharen,
Meri Maiya Tumhen Arpan,
Bhala Hum Kya Karen ॥

Meri Maiya Tumhe Arpan,
Bhala Hum Kya Karen,
Tumhin Se Hai Meri Duniya Bhala,
Dam Kya Bharen,
Meri Maiya Tumhen Arpan,
Bhala Hum Kya Karen ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
मेरी मैया तुम्हे अर्पण, भला हम क्या करें: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरी मैया तुम्हे अर्पण, भला हम क्या करें, तुम्हीं से है मेरी दुनिया भला, दम क्या भरें, मेरी मैया तुम्हें अर्पण, भला हम क्या करें ॥
Bhajan Durga Bhajan BhajanJagdambe Mata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani

Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani, Teri Shakti Hai Aapar, Koi Paya Nhi Paar, Maiya Jagdambe, Jagdambe,
Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani ॥

Maiya Tumse Meri Choti Si Hai Arji

Maiya Tumse Meri, Choti Si Hai Arji, Mano Ya Na Mano, Aage Teri Marji, Mavadi Rakhle Tu, Charon Ke Paas ॥

Aaungi Aaungi Main Agle Baras Phir Aaungi

Aaungi Aaungi Main Agle, Baras Phir Aaungi, Laungi Laungi Teri, Laal Chunariya Laungi ॥