Radhe Radhe Japa Karo (राधे राधे जपा करो: भजन)


Radhe Radhe Japa Karo,
Krishn Naam Ras Piya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥
Radha Degi Tumko Shakti,
Milegi Tumko Krishn Ki Bhakti,
Milegi Tumko Krishn Ki Bhakti,
Radhe, Kripa Drishti Barsaya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥

Radha Rani Hai Maharani,
Mahima Unki Sab Jag Jani,
Mahima Unki Sab Jag Jani,
Radhe, Charnon Mein Priti Kiya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥

Bholi Bhali Sidhi Sadi,
Vo Hai Sabse Nyari Nyari,
Vo Hai Sabse Nyari Nyari,
Radhe, Charnon Mein Shish Jhukaya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥

Radhe Joo Main Sharan Tihari,
Tumhari KrIpa Se Mile Bihari,
Tumhari KrIpa Se Mile Bihari,
Radhe, Radhe Sharan Mein Jaya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥

Braj Mandal Mein Goonj Hai Radhe,
Krishn Ki Vo Hai Pran Aradhe,
Krishn Ki Vo Hai Pran Aradhe,
Aisi, Yugal Chhavi Pe Bali Jaya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥
Bhaktibharat Lyrics

Radhe Radhe Japa Karo,
Krishn Naam Ras Piya Karo,
Radhe Radhe Japa Karon,
Krishn Naam Ras Piya Karo ॥
राधे राधे जपा करो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
राधे राधे जपा करो, कृष्ण नाम रस पिया करो, राधे राधे जपा करों, कृष्ण नाम रस पिया करो ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanRadha Krishna BhajanMridul Shastri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mere Uthe Virah Me Pir

Mere Uthe Virah Me Pir, Sakhi Brundaban Jaungi, Murali Baje Yamuna Tir, Sakhi Brundaban Jaungi ॥

Tadapata Hai Tera Ye Daas Sambhalo

Chale Aao, Tadapta Hai Tera Ye Daas Sambhalo, Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo ॥

Hum Hath Utha Kar Kehte Hai Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke

Hum Hath Utha Kar Kehte Hai, Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke, Hum Shish Jhuka Kar Kahte Hai, Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke ॥

Sri Sad-Goswamyastakam

Krishnotkirtan-gan-nartan-parau Premamritambhonidhi, Dhiraadhirjan-priyou Priyakarau Nirmatsarau Pujitou ।