Ram Ka Pyara Hai Siya Dulara Hai Hanuman (राम का प्यारा है, सिया दुलारा है, हनुमान - भजन)


Ram Ka Pyara Hai,
Siya Dulara Hai,
Sankat Haara Hai,
Hanuman Hanuman,
Hanuman Hanuman,
Teeno Loko Mein,
Saare Devon Mein,
Sabse Nyara Hai,
Hanuman Hanuman,
Hanuman Hanuman ॥
Laal Ye Maan Anjani Ka Jaaya,
Ram Ki Seva Karne Aaya,
Bhakti Kya Hoti Hai Sari,
Duniya Ko Dikhlaya,
Poora Jeevan Hi Ram Ke Charnon Mein,
Isne Gujara Hai,
Hanuman Hanuman,
Hanuman Hanuman ॥

Balaji Ke Bal Ke Aage,
Dev Asur Sab Sheesh Jhukate,
Teenon Loko Mein Ye Hi,
Sankat Mochan Kahalate,
Saare Bhakton Kee Doobti Naiya Ko,
Isne Tara Hai,
Hanuman Hanuman,
Hanuman Hanuman ॥

Har Yug Mein Tera Naam Hai Goonja,
Kalyug Mein Koi Dev Na Dooja,
Jiski Har Mandir Mein Aur,
Ghar Ghar Mein Hotee Pooja,
‘sonu’ Hamko to Tujhpe Bharosa Hai,
Tera Sahara Hai,
Hanuman Hanuman,
Hanuman Hanuman ॥

Ram Ka Pyara Hai,
Siya Dulara Hai,
Sankat Haara Hai,
Hanuman Hanuman,
Hanuman Hanuman,
Teeno Loko Mein,
Saare Devon Mein,
Sabse Nyara Hai,
Hanuman Hanuman,
Hanuman Hanuman ॥

◉ The recitation of Hanuman Chalisa, Bajrang Baan and Sankatmochan Hanuman Ashtak are considered very prominent in the worship of Shri Hanumant Lal.
राम का प्यारा है, सिया दुलारा है, हनुमान - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम का प्यारा है, सिया दुलारा है, संकट हारा है, हनुमान II
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path BhajanHari Om Sharan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Rakho Hath Dhal Talwar Majbuti Jagdamba

Rakho Hath Dhal Talwar Muth Majbuti, Muth Majbuti E Dharde Re Jagdamba, Raajputon Mein Majbuti...

Thari Chakari Karungo Din Raat Banalyo Mhane Chakariyo

Thari Chakari Karungo Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo, Thaari Seva Karungo Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo, Chaakriyo E Dadi Sevkiyo, Thaaran Gun Gaoon Din Raat, Banalyo Mhaane Chaakriyo ॥

Jis Bhajan Mein Ram Ka Nam Na Ho

Jis Bhajan Mein Ram Ka Naam Na Ho, Us Bhajan Ko Gana Na Chahiye |..

Ram Hi Paar Lagavenge

Aji Main to Ram Hi Ram Bhajoon Ri Mere Ram, Ram Hi Paar Lagavenge..

Jaise Tum Sita Ke Ram

Jaise Tum Sita Ke Ram, Jaise Lakshman Ke Samman, Jaise Hanumat Ke Bhagwan