Tumhe Vandana Tumhe Vandana (तुम्हे वंदना तुम्हें वंदना - भजन)


Tumhe Bandana Tumhe Bandana,
Hey Buddhi Ke Data,
Sab Devo Ke Gyata,
Tumhe Bandana Tumhe Bandana ॥
Ek Dant Dayavant,
Chaar Bhuja Dhari,
Mathe Pe Sindur Sohe,
Muse Ki Sawari,
Maiya Tumhe Bulaye,
Gora Tumhe Bulaye,
Kah Kah Ke Lalana,
Tumhe Bandana Tumhe Bandana ॥

Paan Chadhe Phul Chadhe,
Aur Chadhe Mewa,
Ladduan Ka Bhog Lage,
Sant Kare Sewa,
Bhole Baba Tumhai Jhulawe,
Shankar Baba Tumhai Jhulawe,
Resham Ke Palana,
Tumhe Bandana Tumhe Bandana ॥

Andhan Ko Ankh Det,
Kodin Ko Kaaya,
Banjhan Ko Putra Det,
Nirdhan Ko Maaya,
Bhakton Ki Vinati Ko,
Dinon Ki Vinati Ko,
Ab Ganapati Ji Sunana,
Tumhe Bandana Tumhe Bandana ॥

Tumhe Bandana Tumhe Bandana,
Hey Buddhi Ke Data,
Sab Devo Ke Gyata,
Tumhe Bandana Tumhe Bandana ॥
तुम्हे वंदना तुम्हें वंदना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तुम्हे वंदना तुम्हें वंदना, हे बुद्धि के दाता, सब वेदों के ज्ञाता, तुम्हें वंदना तुम्हें वंदना ॥
Bhajan Diwali Lakshmi Ganesh Puja BhajanVighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ghar Me Padharo Gajanan Ji

Ghar Mein Padharo Gajananji, Mere Ghar Mein Padharo, Riddhi Siddhi Leke Aao Ganaraja...

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Namavali: Ramayan Manka 108

Bhid Padi Jab Bhakt Pukare । Door Karo Prabhu Du:kh Hamare ॥ Dasharath Ke Ghar Janme Ram ।

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..