Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hanuman Ji Ki Aarti Trimurtidham (त्रिमूर्तिधाम: श्री हनुमान जी की आरती)


Jai Hanumat Baba,
Jai Jai Hanumat Baba ।
Ramdut Balvanta,
Ramdut Balvanta,
Sab Jan Man Bhava ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Anjani Garbh Sambhuta,
Pavan Vegdhari,
Baba Pavan Vegdhari ।
Lankini Garv Nihanta,
Lankini Garv Nihanta,
Anupam Baldhari ।
Jai Jai Hanumat Baba ।

Balapan Mein Baba Acharaj Bahu Kinhon,
Baba Acharaj Bahu Kinhon ।
Ravi Ko Mukh Mein Dharayo,
Ravi Ko Mukh Mein Dharayo,
Rahu Traas Dinhon ।
Jai Jai Hanumat Baba ।

Sita Ki Sudhi Laye,
Lanka Dahan Kiyo,
Baba Lanka Dahan Kiyo ।
Bag Ashok Ujari,
Bag Ashok Ujari,
Akshay Maar Diyo ।
Jai Jai Hanumat Baba ।

Dron So Giri Uparayo,
Lakhan Ko Pran Diyo,
Baba Lakhan Ko Pran Diyo ।
Ahiravan Sanhara,
Ahiravan Sanhara,
Sab Jan Taar Diyo ।
Jai Jai Hanumat Baba ।

Sankat Haran Kripamay,
Dayamay Sukhkari,
Baba Dayamay Sukhkari ।
Sarv Sukhan Ke Daata,
Sarv Sukhan Ke Daata,
Jai Jai Kehari Hari ।
Jai Jai Hanumat Baba ।

Sab Dwaron Se Lauta Teri Sharan Parayo,
Baba Teri Sharan Parayo ।
Sankat Mera Mitao,
Sankat Mera Mitao,
Vighn Sakal Harayo ।
Jai Jai Hanumat Baba ।

Bhakti Bhav Se Baba, Man Mera Sikt Rahe,
Baba Man Mera Sikt Rahe ।
Ek Ho Sharan Tihari,
Ek Ho Sharan Tihari,
Vishayan Mein Na Chit Rahe ।
Jai Jai Hanumat Baba ।

Jai Hanumat Baba,
Jai Jai Hanumat Baba ।
Ramdut Balvanta,
Ramdut Balvanta,
Sab Jan Man Bhava ।
Jai Jai Hanumat Baba ।

Doha
Pavan Tanay Sankat Haran,
Mangal Murati Roop ।
Ram Lakhan Sita Sahit,
Hriday Basehun Sur Bhoop ॥

* Yah Aarti Pratah Kal Nahin Ki Jani Chahiye ।
* Yah Aarti Shri Trimurtidham, Balaji Hanuman Mandir Kalka, Jila Panchakula, Hariyana Me Gai Jane Wali Aarti Hai ।

◉ The recitation of Hanuman Chalisa, Bajrang Baan and Sankatmochan Hanuman Ashtak are considered very prominent in the worship of Shri Hanumant Lal.

त्रिमूर्तिधाम: श्री हनुमान जी की आरती हिन्दी में पढ़ें

जय हनुमत बाबा, जय जय हनुमत बाबा । रामदूत बलवन्ता..
Read Also

Aarti Shri Hanuman AartiBajrangbali AartiHanuman Jayanti AartiMangalwar AartiTuesday AartiSundarkand Aarti

Other Popular Hanuman Ji Ki Aarti Trimurtidham Video

If you love this aarti please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this aarti for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Aarti ›

Shri Brihaspati Dev Ji Ki Aarti

Jai Brihaspati Deva, Om Jai Vrhaspati Deva। Chhin Chhin Bhog Laga‌on, Kadli Phal Meva...

Laxmi Mata Aarti

Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata।, Tumako Nishidin Sevat...

Aarti: Om Jai Jagdish Hare

Om Jaye Jagdish Hare, Swami Jaye Jagdish Hare, Bhagt Jano Ke Sankat, Khshan Mein Door Kare॥ - om jai jagdish hare lyrics in hindi and English

Ekadashi Mata Ki Aarti

Om Jai Ekadashi, Jai Ekadashi, Jai Ekadashi Mata. Vishnu Pooja Vrat Ko Dharan Kar, Shakti Mukti Pata ॥

Shri Ganesh Aarti

Jai Ganesh Jai Ganesh Jai Ganesg Deva। Mata Jaki Parwati Pita Maha Deva॥

Babosa Aarti

Babosa Aarti

Sankata Mata Aarti

Jai Jai Sankata Bhawani, Karahoon Aarti Teri । Sharan Padi Hoon Teri Mata

Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP