Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hey Mahashakti Hey Maa Ambey Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai (हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है: भजन)


Hey Mahashakti Hey Maa Ambey Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥
Saari Duniya Ek Bagiya Hai,
Hum Sab Bagiya Ke Phul Yahan,
Is Bagiya Ki Maan Hai Maali,
Har Phul Hi Maan Ko Pyara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Koi Kasht Nahin Usko Aata,
Jo Maan Ka Sumiran Karta Hai,
Saya Bankar Us Prani Ko,
Maan Deti Sada Sahara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Apne Bhakto Se Daati Kabhi,
Palbhar Bhi Door Nahin Hoti,
Daudi Daudi Aati Hai Maan,
Jisne Bhi Man Se Pukara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Apne Jeevan Ki Dori Ko,
Ab Saump Do ‘Sharma’ Daati Ko,
Na Jaane Kitno Ko Maan Ne,
Bhavsagar Paar Utara Hai,
Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

Hey Mahashakti Hey Maan Ambe,
Tera Mandir Bada Hi Pyara Hai ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है: भजन हिन्दी में पढ़ें

हे महाशक्ति हे माँ अम्बे, तेरा मंदिर बड़ा ही प्यारा है ॥
Read Also

Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Jab Jab Inke Bhakto Pe Koi Sankat Aata Hai

Jab Jab Inke Bhakton Pe, Koi Sankat Aata Hai, Mera Laal Langota Bala,
Pal Mein Dauda Aata Hai ॥

Mere Balaji Maharaj Jaikara Gunje Gali Gali

Mere Balaji Maharaj, Jayakara Gunje Gali Gali, Jayakara Gunje Gali Gali, Jayakara Gunje Gali Gali, Mere Balaji Maharaj, Jayakara Gunje Gali Gali ॥

Bajrang Bala Sabse Nyara

Bajarng Bala Sabse Nyara, Sab Bhakto Ko Bada Lage Pyara, Bhakton Main Bhakt Bada Matwala,
Bhakton Main Bhakt Bada Matwala, Sari Duniya Ka Hai Ye Rakhwala, Bajarng Bala Sabse Nyara,
Sab Bhakto Ko Bada Lage Pyara ॥

Baaj Raha Danka Duniya Mein Bajrang Bala Ka

Baj Raha Danka Duniya Main, Bajarang Bala Ka, Are Lahare Laal Pataka, Maa Anjani Ke Lala Ka,
Baj Raha Danka Duniya Main, Bajarang Bala Ka ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP