Sawan 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mayia Navratro Mein Jab Dharti Pe Aati Hai (मैया नवरात्रों में जब धरती पे आती है: भजन)


Mayia Navratro Mein Jab Dharti Pe Aati Hai
Mayia Navratro Mein Jab Dharti Pe Aati Hai,
Kisko Hai Kya Dena Ye Soch Ke Aati Hai,
Mayia Navratro Mein Jab Dharti Pe Aati Hai ॥
Pahale Navratro Mein Maa Sabki Khabar Leti,
Duje Navaratro Mein Apne Khate Mein Likh Leti Hai,
Tije Navaratro Se Baat Aage Badhati Hai,
Mayia Navratro Mein Jab Dharti Pe Aati Hai ॥

Chauthe Navaratro Mein Maa Asan Lagati Hai,
Panchve Navaratro Mein Maa Aa Gayi Batati Hai,
Chate Navaratro Mein Sabko Darshan Karati Hai,
Mayia Navratro Mein Jab Dharti Pe Aati Hai ॥

Satve Navaratro Mein Khol Deti Khajane Hai,
Athave Navaratro Se Lag Jati Lutane Hai,
Nave Navaratro Mein Dono Haatho Se Lutati hai,
Mayia Navratro Mein Jab Dharti Pe Aati Hai ॥
BhaktiBharat Lyrics

Dashve Din Mata Ki Bidai Jab Aati Hai,
Dharti Ke Logo Ki Ankhe Bhar Aati Hai,
Rama Phir Aaungi Vada Karke Chali Jati Hai,
Mayia Navratro Mein Jab Dharti Pe Aati Hai ॥

मैया नवरात्रों में जब धरती पे आती है: भजन हिन्दी में पढ़ें

मैया नवरात्रों में जब धरती पे आती है, किसको है क्या देना ये सोच के आती है, मैया नवरात्रों मे जब धरती पे आती है ॥
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanJubin Nautiyal Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai

Kisi Ke Kam Jo Aaye, Use Insan Kahte Hain । Paraya Dard Apnaye, Use Insan Kahte Hain ॥

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai

Anmol Tera Jeevan, Yun Hi Ganva Raha Hai, Kis Aur Teri Manjil...

Tulsa Kar Aai Chaaron Dham

Tulsa Kar Aai Charon Dham, Jane Kahan Legi Vishram । Pahala Vishram Vaane Haridwar Mein Payo..

Radha Ka Chitchor Kanhaiya

Radha Ka Chitchor Kanhaiya, Daooji Ka Natkhat Bhaiya, Kunj Galin Ka Raas Rachaiya, Bha Gaya Hamen Bha Gaya...

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein, Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon, Vaani Mein Tanik Mithas Nahin, Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥

Nit Nayo Lage Sanvaro

Nit Nayo Laage Saanvaro, Iki Leva Nazar Utaar, Najar Na Lag Jaavai, Eki Leva Nazar Utaar..

Baba Karle Tu Ithe Bhi Nazar Bhagat Koi Rota Hoyega

Baba Karle Tu Ithe Bhi Nazar, Bhagat Koi Rota Hovega, Aaya Hoga Haar Ke Vo Har Dagar, Aaya Hoga Haar Ke Vo Har Dagar, Bhagat Koi Rota Hovega, Baba Karlen Tu Ithe Bhi Nazar, Bhagat Koi Rota Hovega ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP