Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera (मुरख बन्दे, क्या है रे जग मे तेरा - भजन)


Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera
O Murakh Bande,
Kya Hai Re Jag Me Tera,
Ye to Sab Jhootha Sapna Hai,
Ye to Sab Jhootha Sapna Hai,
Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande,
Kya Hai Re Jag Me Tera ॥
Kitni Hi Maya Jod Le,
Kitne Hi Mahal Banale,
Tere Marne Ke Baad Sun,
Tere Ye Ghar Wale,
Do Gaj Kafan Udakar Tujhse,
Do Gaj Kafan Udakar Tujhse,
Chhin Lege Ye Sab Tera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Koti Bangla Kaar Dekh Tu,
Kyu Itna Itrata Hai,
Patni or Bachcho Ke Bich Tu,
Fula Nahi Samata Hai,
Chaar Dino Ki Chandni Ye,
Chaar Dino Ki Chandni Ye,
Fir Aayega Andhera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Murakh Apni Mukti Ka Tu,
Jaldi Kar Upaay,
Kis Din Kis Ghadi Teri Ye,
Baah Pakad Le Jaaye,
Tere Sath Me Ghum Raha Hai,
Tere Sath Me Ghum Raha Hai,
Bankar Kaal Lutera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Paap Kamaya Tune Bahut Ab,
Thoda Punya Kamale,
Kuch to Samay Hai Ab Manav Tu,
Ram Naam Gun Gale,
Ram Naam Se Mit Jayega,
Ram Naam Se Mit Jayega,
Janam Maran Ka Fera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

O Murakh Bande,
Kya Hai Re Jag Me Tera,
Ye to Sab Jhootha Sapna Hai,
Ye to Sab Jhootha Sapna Hai,
Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande,
Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

मुरख बन्दे, क्या है रे जग मे तेरा - भजन हिन्दी में पढ़ें

ओ मुरख बन्दे, क्या है रे जग मे तेरा, ये तो सब झूठा सपना है, ये तो सब झूठा सपना है, क्या तेरा क्या मेरा, मुरख बन्दे, क्या है रे जग मे तेरा ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Dunia Chale Na Shriram Ke Bina

Duniya Chale Na Shri Ram Ke Bina, Ram Ji Chale Na Hanuman Ke Bina ।

Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ki Nahi

Wo Namaste Dua Aur, Salam Ka Nahi, Jo Ram Ka Nahi, Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Mhari Vinti Suno The Hanuman

Mhari Bhakti Suno The Hanuman, Dharun Mein Tharo Dhyan, Bega Sa Aao Balaaji, Bega Sa Aao Balaaji, Bhagtan Ki SunoJyo Balaaji ॥

Hey Ram Bhakt Hanuman Ji Mujhe Aisi Bhakti Do

Hey Ram Bhakta Hanuman Ji, Mujhe Asi Bhakti Do, Charanon Ko Sewa Kar Sakun, Prabhu Asi Shakti Do, Hey Ram Bhakta Hanuman Ji ॥

Balaji Tumhare Charno Mein Main Tumhe Rjhane Aaya Hun

Balaji Tumhare Charanon Main, Main Tumhai Rijhane Aaya Hun ॥

Ramchandra Keh Gaye Siya Se

Ramchandra Kah Gaye Siya Se, Hey Ramchandra Kah Gaye Siya Se, Aisa Kalyug Aayega, Hans Chugega Dana Dunka...

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP