Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Sherowali Ki Jai Bolo (शेरावाली की जय बोलो: भजन)


Sherowali Ki Jai Bolo
Meri Maiya Sherowali Hai,
Kare Bhakto Ki Rakhwali Hai,
Sab Bhakto Milkar Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥
Shlok – Naam Jo Ambe Rani Ka,
Man Se Prani Gayega,
Uska Beda Bhav Sagar Se,
Pal Bhar Mein Tar Jayega,
Laaj Rakhti Hai Bhakto Ki,
Bin Mange Hi Sab Payega,
Aur Sachche Man Ye 'Lakha’,
Jo Jaijaikar Bulayega ॥

Meri Maiya Sherowali Hai,
Kare Bhakto Ki Rakhwali Hai,
Sab Bhakto Milkar Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥

Maan Sarv Manala Kali Hai,
Navdurga Khappar Wali Hai,
Khappar Wali Ki Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥

Mamta Mai Mamta Lutati Hai,
Bhakto Ki Bigdi Banati Hai,
Mamta Mai Maa Ki Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥

Jo Sachche Man Se Dhyata Hai,
Munh Manga Var Vo Pata Hai,
Sachche Darbaar Ki Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥

Jo Sharan Mein Maan Ki Aaya Hai,
Vo Jholi Bhar Kar Laya Hai,
Phir Sachche Man Se Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥

Tarachand Mahima Gata Hai,
‘Lakha’ Bhi Shish Jhukata Hai,
Ek Baar Jara to Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥

Meri Maiya Sherowali Hai,
Kare Bhakto Ki Rakhwali Hai,
Sab Bhakto Milkar Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥

Sherawali Ki Jai Bolo,
Mehrawali Ki Jai Bolo,
Amberani Ki Jai Bolo,
Vaishnorani Ki Jai Bolo,
Jotawali Ki Jai Bolo,
Pahadawali Ki Jai Bolo,
Sherawali Ki Jai Bolo ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन

शेरावाली की जय बोलो: भजन हिन्दी में पढ़ें

शेरावाली की जय बोलो, मेहरावाली की जय बोलो, अम्बेरानी की जय बोलो, वैष्णोरानी की जय बोलो, जोतावाली की जय बोलो, पहाड़ावाली की जय बोलो, शेरावाली की जय बोलो ॥
Read Also

Bhajan Durga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanVashno Devi BhajanPahadawali Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tuti Jhupdiya Meri Maa Garib Ghar Aajana

Tuti Jhupdiya Meri Maan, Garib Ghar Aa Jana । Bade Bade Log Maiya Jagran Karaye

Hey Muralidhar Chhaliya Mohan

Hey Murlidhar Chhaliya Mohan, Hum Bhi Tumko Dil De Baithe, Gam Pahle Se Hi Kam to Na the

Ram Ji Se Puche Janakpur Ki Nari

Ram Ji Se Puchhe Janakpur Ki Nari, Bata Da Babua Logva Det Kahe Gaari, Bata Da Babua ॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Jjhulan Chalo Hindolana Vrashbhanu Nandni

Jhulan Chalo Hidolana, Vrshbhan Nandni । Savan Ki Teej Aai, Navghor Ghata Chhai

Jhula Padyo Hai Kadamb Ki Daar

Jhoola Padyo Hai Kadamb Ki Daar, Jhulave Braj Nari, Braj Nari Re Braj Nari, Braj Nari Sakhiyan Sari..

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP